farar
barf kī chādareñ jis tarah bichhī hoñ har-sū
munjamid ho ga.ī saarī duniyā
dhund meñ lipTī huī zahr-ālūd havā
ab to kuchh bhī nahīñ kahne ko yahāñ
yahī behtar hai ki ḳhāmosh raho
sub.h tum uTh ke na aḳhbār paḌho
diida reza na karo
media nashtar kare
shahr meñ gaañv meñ galī kūchoñ meñ
bheḌiyoñ aur darindoñ kī huī hai yalġhār
tum magar kuchh na suno
muuñd lo āñkheñ apnī
niiñd aa.e na agar
niiñd kī golī khā lo
barf ki chadaren jis tarah bichhi hon har-su
munjamid ho gai sari duniya
dhund mein lipTi hui zahr-alud hawa
ab to kuchh bhi nahin kahne ko yahan
yahi behtar hai ki KHamosh raho
subh tum uTh ke na aKHbar paDho
dida reza na karo
media nashtar kare
shahr mein ganw mein gali kuchon mein
bheDiyon aur darindon ki hui hai yalghaar
tum magar kuchh na suno
mund lo aankhen apni
nind aae na agar
nind ki goli kha lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.