farar ki pahli raat
naujavān kaun hai to
aayā hai kis nagrī se
naam kyā hai tirā
kyā kaam hai āḳhir mujh se
maiñ samajhtā huuñ ki is vaqt munāsib nahīñ aanā terā
tū ne kis zo.am meñ is vaqt pukārā hai mujhe
tū ne kyā soch ke dastak dī hai
aaj kī shab mire so.e hue darvāze par
naujavāñ kaun hai tū
naujavāñ jo bhī hai tū
faisla soch samajh kar ye kyā hai maiñ ne
laakh dastak koī de aaj kī raat
ghar kā darvāza kisī par bhī na ab kholūñgā
chāhe mehmān ho yā koī havā kā jhoñkā
sach to ye hai ki mujhe
ab to un taaza havāoñ se bhī Dar lagtā hai
naujavāñ Thiik sahī
to mujhe jāntā hai maiñ bhī tujhe jāntā huuñ
thī mulāqāt tirī aur mirī aaj se barsoñ pahle
lekin ab us kā ye matlab to nahīñ
tū samajh kar mujhe ham-umr apnā
jab bhī chāhe mire darvāze pe de kar dastak
ratjage mil ke manāne ke liye
mujh ko bulāne aa jaa.e
jā miyāñ aur kahīñ mujh ko pareshān na kar
naujawan kaun hai to
aaya hai kis nagri se
nam kya hai tera
kya kaam hai aaKHir mujh se
main samajhta hun ki is waqt munasib nahin aana tera
tu ne kis zoam mein is waqt pukara hai mujhe
tu ne kya soch ke dastak di hai
aaj ki shab mere soe hue darwaze par
naujawan kaun hai tu
naujawan jo bhi hai tu
faisla soch samajh kar ye kya hai main ne
lakh dastak koi de aaj ki raat
ghar ka darwaza kisi par bhi na ab kholunga
chahe mehman ho ya koi hawa ka jhonka
sach to ye hai ki mujhe
ab to un taza hawaon se bhi Dar lagta hai
naujawan Thik sahi
to mujhe jaanta hai main bhi tujhe jaanta hun
thi mulaqat teri aur meri aaj se barson pahle
lekin ab us ka ye matlab to nahin
tu samajh kar mujhe ham-umr apna
jab bhi chahe mere darwaze pe de kar dastak
ratjage mil ke manane ke liye
mujh ko bulane aa jae
ja miyan aur kahin mujh ko pareshan na kar
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 149)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.