farar
maiñ ki bachpan meñ ek din ghar se
aisā bhāgā ki bhāgtā hī rahā
shahr-dar-shahr be-gharī kā 'azāb
āsmāñ mere naam likhtā rahā
merī ḳhāna-badoshiyāñ mujh se
kah rahī haiñ ki Thahr jā.ūñ kahīñ
aur kuchh thak chukā huuñ ab maiñ bhī
chāhtā huuñ ki ek shab ke liye
Thahr kar rāste meñ dam le luuñ
is se pahle ki ḳhema nasb karūñ
chand saa.e mire ta'āqub meñ
duur hī se dikhā.ī dete haiñ
aur phir bhārī-bhārī qadmoñ kī
chaap kānoñ meñ paḌne lagtī hai
fāsla bhī simaTne lagtā hai
aur maiñ phir se pāgaloñ kī tarah
ek jānib ko dauḌ paḌtā huuñ
aur phir sab Darāvne saa.e
dhund ke pīchhe Duub jaate haiñ
maiñ ki is baar bhī sadā kī tarah
un ke chungal se bach nikaltā huuñ
bach nikalnā bhī ik 'azāb sā hai
silsila ḳhatm kyoñ nahīñ hotā
ek jā-e-amān kī ḳhātir
kab talak bhāgtā rahūñgā maiñ
main ki bachpan mein ek din ghar se
aisa bhaga ki bhagta hi raha
shahr-dar-shahr be-ghari ka 'azab
aasman mere nam likhta raha
meri KHana-badoshiyan mujh se
kah rahi hain ki Thahr jaun kahin
aur kuchh thak chuka hun ab main bhi
chahta hun ki ek shab ke liye
Thahr kar raste mein dam le lun
is se pahle ki KHema nasb karun
chand sae mere ta'aqub mein
dur hi se dikhai dete hain
aur phir bhaari-bhaari qadmon ki
chap kanon mein paDne lagti hai
fasla bhi simaTne lagta hai
aur main phir se pagalon ki tarah
ek jaanib ko dauD paDta hun
aur phir sab Darawne sae
dhund ke pichhe Dub jate hain
main ki is bar bhi sada ki tarah
un ke chungal se bach nikalta hun
bach nikalna bhi ek 'azab sa hai
silsila KHatm kyon nahin hota
ek ja-e-aman ki KHatir
kab talak bhagta rahunga main
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 114)
- Author :Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.