farar
maiñ
tumhāre
mere
us ke
sab ke dukh ko dukh samajhne ke liye
ye kaisā ḳhālī-pan nigaltā jā rahā huuñ
har taraf mere samundar hī samundar hai
sarāboñ kā
mujhe
shāyad zarūrat hai kisī be-chehragī kī
jo mujhe be-nām kar de
mere ehsāsāt ke āñgan meñ aisī shaam kar de
sau diye jal jaa.eñ kuchh raushan na ho
aur maiñ apnā sarāpā
is añdhere meñ kahīñ ḳhāmosh
gūñgī ḳhvāhishoñ ke naam kar ke
chhoḌ jā.ūñ
main
tumhaare
mere
us ke
sab ke dukh ko dukh samajhne ke liye
ye kaisa KHali-pan nigalta ja raha hun
har taraf mere samundar hi samundar hai
sarabon ka
mujhe
shayad zarurat hai kisi be-chehragi ki
jo mujhe be-nam kar de
mere ehsasat ke aangan mein aisi sham kar de
sau diye jal jaen kuchh raushan na ho
aur main apna sarapa
is andhere mein kahin KHamosh
gungi KHwahishon ke nam kar ke
chhoD jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.