TuuTe phūTe va.adoñ se
ḳhush-fahmiyoñ kā kashkol sajā.e
mujh meñ rahne kī ḳhātir tum aa.e
is se pahle maiñ darvāza kholūñ
kuchh bolūñ
afvāhoñ kī gard meñ lipTe zahr-ālūd mohabbat-nāme liye hue tum
udhḌe hue rishtoñ ke jaame siye hue tum
mujh meñ aan samā.e
maiñ rahne ke liye banā huuñ
jo aa.e mujh meñ rah jaa.e
mujhe sajā.e
jitnā pyaar kare utnā sukh paa.e
tum se pahle bhī kuchh log yūñhī aa.e the
apne andar mujh meñ tabdīlī ke ḳhvāb sajā laa.e the
aur phir ik din
jis ne jo bhī ahd kyā vo toḌ diyā
jis ne jo bhī baat kahī vo radd kar dī
lekin tum ne to had kar dī
mere din vīrān hue haiñ
merī sub.h ke chehre par kitnī rātoñ ke zaḳhm lage haiñ
merī shaam udaas khaḌī hai
mere ufuq par sūraj lahūluhān paḌā hai
dīvāroñ se ḳhuuñ ristā hai
darvāzoñ se merā ik ik raaz ayaañ hai
mere sahn meñ dushman kī sāzish raqsāñ hai
sunā hai ab is haal meñ mujh ko chhoḌ ke tum jaane vaale ho
mere bāhar baiTh ke merī yaad kā ġham khāne vaale ho
tum se aur ummīd bhī kyā ho
tum bhī to duniyā vaale ho
jab tak ishq se ishq nahīñ miltā tanhā dukh sahnā hai
ghar kī fikr to us ko hogī jis ko ghar meñ rahnā hai
TuTe phuTe wadon se
KHush-fahmiyon ka kashkol sajae
mujh mein rahne ki KHatir tum aae
is se pahle main darwaza kholun
kuchh bolun
afwahon ki gard mein lipTe zahr-alud mohabbat-name liye hue tum
udhDe hue rishton ke jame siye hue tum
mujh mein aan samae
main rahne ke liye bana hun
jo aae mujh mein rah jae
mujhe sajae
jitna pyar kare utna sukh pae
tum se pahle bhi kuchh log yunhi aae the
apne andar mujh mein tabdili ke KHwab saja lae the
aur phir ek din
jis ne jo bhi ahd kya wo toD diya
jis ne jo bhi baat kahi wo radd kar di
lekin tum ne to had kar di
mere din viran hue hain
meri subh ke chehre par kitni raaton ke zaKHm lage hain
meri sham udas khaDi hai
mere ufuq par suraj lahuluhan paDa hai
diwaron se KHun rista hai
darwazon se mera ek ek raaz ayan hai
mere sahn mein dushman ki sazish raqsan hai
suna hai ab is haal mein mujh ko chhoD ke tum jaane wale ho
mere bahar baiTh ke meri yaad ka gham khane wale ho
tum se aur ummid bhi kya ho
tum bhi to duniya wale ho
jab tak ishq se ishq nahin milta tanha dukh sahna hai
ghar ki fikr to us ko hogi jis ko ghar mein rahna hai
- Book : جنہیں راستے میں خبر ہوئی (Pg. 579)
- Author : سلیم کوثر
- Publication : فضلی بکس ٹیمپل روڈ،اردو بازار، کراچی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.