farda
zamāna saath chalā hai to saath ġham bhī chale
hayāt-o-maut ke rishta meñ ek aur girah
ufuq ke paas syāhī kī sarhadoñ se duur
shafaq kī god meñ kirnoñ kī saañs TuuT ga.ī
thake thake se musāfir udhār kī pūñjī
jo kā.enāt ke virse kī ik ḳhayānat hai
chale haiñ le ke kisī shāhrāh kī jānib
zamana sath chala hai to sath gham bhi chale
hayat-o-maut ke rishta mein ek aur girah
ufuq ke pas syahi ki sarhadon se dur
shafaq ki god mein kirnon ki sans TuT gai
thake thake se musafir udhaar ki punji
jo kaenat ke wirse ki ek KHayanat hai
chale hain le ke kisi shahrah ki jaanib
- Book : Awaz Na Do (Pg. 60)
- Author : Javed Kamal
- Publication : Sky Lark Publishers, Aligarah (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.