fareb
Interesting Fact
15/August aur us ke baad
(1)
nā-gahāñ shor huā
lo shab-e-tār-e-ġhulāmī kī sahar aa pahuñchī
uñgliyāñ jaag uThīñ
barbat o tā.ūs ne añgḌā.ī lī
aur mutrib kī hathelī se shuā.eñ phūTīñ
khil ga.e saaz meñ naġhmoñ ke mahakte hue phuul
log chillā.e ki fariyād ke din biit ga.e
rāhzan haar ga.e
rāh-rau jiit ga.e
qāfile duur the manzil se bahut duur magar
ḳhud-farebī kī ghanī chhāñv meñ dam lene lage
chun liyā raah ke rezoñ ko ḳhazaf-rezoñ ko
aur samajh baiThe ki bas la.al-o-javāhar haiñ yahī
rāhzan hañsne lage chhup ke kamīñ-gāhoñ meñ
ham-nashīñ ye thā farañgī kī firāsat kā tilism
rahbar-e-qaum kī nākāra qayādat kā fareb
ham ne āzurdagī-e-shauq ko manzil jaanā
apnī hī gard-e-sar-e-rāh ko mahmil jaanā
gardish-e-halqa-e-gardāb ko sāhil jaanā
ab jidhar dekho udhar maut hī mañDlātī hai
dar-o-dīvār se rone kī sadā aatī hai
ḳhvāb zaḳhmī haiñ umañgoñ ke kaleje chhalnī
mere dāman meñ haiñ zaḳhmoñ ke dahakte hue phuul
ḳhuun meñ luThḌe hue phuul
maiñ jinheñ kūcha-o-bāzār se chun laayā huuñ
qaum ke rāhbaro rāhzanoñ
apne aivān-e-hukūmat meñ sajā lo in ko
apne guldān-e-siyāsat meñ lagā lo in ko
apnī sad-sāla tamannāoñ kā hāsil hai yahī
mauj-e-pāyāb kā sāhil hai yahī
tum ne firdaus ke badle meñ jahannam le kar
kah diyā ham se gulistāñ meñ bahār aa.ī hai
chand sikkoñ ke evaz chand miloñ kī ḳhātir
tum ne nāmūs-e-shahīdān-e-vatan bech diyā
bāġhbāñ ban ke uThe aur chaman biich diyā
(2)
kaun āzād huaa?
kis ke māthe se siyāhī chhūTī
mere siine meñ abhī dard hai mahkūmī kā
mother-e-hind ke chehre pe udāsī hai vahī
ḳhanjar āzād haiñ sīnoñ meñ utarne ke liye
maut āzād hai lāshoñ pe guzarne ke liye
chor-bāzāroñ meñ bad-shakl chuḌailoñ kī tarah
qīmateñ kaalī dukānoñ pe khaḌī rahtī haiñ
har ḳharīdār kī jeboñ ko katarne ke liye
kār-ḳhānoñ pe lagā rahtā hai
saañs letī huī lāshoñ kā hujūm
biich meñ un ke phirā kartī hai bekārī bhī
apnā ḳhuñḳhār dahan khole hue
aur sone ke chamakte sikke
Dañk uThā.e hue phan phailā.e
ruuh aur dil pe chalā karte haiñ
mulk aur qaum ko din raat Dasā karte haiñ
roTiyāñ chakloñ kī qahbā.eñ haiñ
jin ko sarmāya ke dallāloñ ne
naf.a-ḳhorī ke jharokoñ meñ sajā rakhā hai
bāliyāñ dhaan kī gehūñ ke sunahre ḳhoshe
misr o yūnān ke majbūr ġhulāmoñ kī tarah
ajnabī des ke bāzāroñ meñ bik jaate haiñ
aur bad-baḳht kisānoñ kī bilaktī huī ruuh
apne aflās meñ muñh Dhāñp ke so jaatī hai
ham kahāñ jaa.eñ kaheñ kis se ki nādār haiñ ham
kis ko samjhā.eñ ġhulāmī ke gunahgār haiñ ham
tauq ḳhud ham ne pahnā rakkhā hai armānoñ ko
apne siine meñ jakaḌ rakkhā tūfānoñ ko
ab bhī zindān-e-ġhulāmī se nikal sakte haiñ
apnī taqdīr ko ham aap badal sakte haiñ
(3)
aaj phir hotī haiñ zaḳhmoñ se zabāneñ paidā
tīra-o-tār fazāoñ se barsātā hai lahū
raah kī gard ke nīche se ubharte haiñ qadam
taare ākāsh pe kamzor habāboñ kī tarah
shab ke sailāb-e-siyāhī meñ bahe jaate haiñ
phūTne vaalī hai mazdūr ke māthe se kiran
surḳh parcham ufuq-e-sub.h pe lahrāte haiñ
(1)
na-gahan shor hua
lo shab-e-tar-e-ghulami ki sahar aa pahunchi
ungliyan jag uThin
barbat o taus ne angDai li
aur mutrib ki hatheli se shuaen phuTin
khil gae saz mein naghmon ke mahakte hue phul
log chillae ki fariyaad ke din bit gae
rahzan haar gae
rah-rau jit gae
qafile dur the manzil se bahut dur magar
KHud-farebi ki ghani chhanw mein dam lene lage
chun liya rah ke rezon ko KHazaf-rezon ko
aur samajh baiThe ki bas lal-o-jawahar hain yahi
rahzan hansne lage chhup ke kamin-gahon mein
ham-nashin ye tha farangi ki firasat ka tilism
rahbar-e-qaum ki nakara qayaadat ka fareb
hum ne aazurdagi-e-shauq ko manzil jaana
apni hi gard-e-sar-e-rah ko mahmil jaana
gardish-e-halqa-e-gardab ko sahil jaana
ab jidhar dekho udhar maut hi manDlati hai
dar-o-diwar se rone ki sada aati hai
KHwab zaKHmi hain umangon ke kaleje chhalni
mere daman mein hain zaKHmon ke dahakte hue phul
KHun mein luThDe hue phul
main jinhen kucha-o-bazar se chun laya hun
qaum ke rahbaro rahzanon
apne aiwan-e-hukumat mein saja lo in ko
apne guldan-e-siyasat mein laga lo in ko
apni sad-sala tamannaon ka hasil hai yahi
mauj-e-payab ka sahil hai yahi
tum ne firdaus ke badle mein jahannam le kar
kah diya hum se gulistan mein bahaar aai hai
chand sikkon ke ewaz chand milon ki KHatir
tum ne namus-e-shahidan-e-watan bech diya
baghban ban ke uThe aur chaman bich diya
(2)
kaun aazad hua?
kis ke mathe se siyahi chhuTi
mere sine mein abhi dard hai mahkumi ka
mother-e-hind ke chehre pe udasi hai wahi
KHanjar aazad hain sinon mein utarne ke liye
maut aazad hai lashon pe guzarne ke liye
chor-bazaron mein bad-shakl chuDailon ki tarah
qimaten kali dukanon pe khaDi rahti hain
har KHaridar ki jebon ko katarne ke liye
kar-KHanon pe laga rahta hai
sans leti hui lashon ka hujum
bich mein un ke phira karti hai bekari bhi
apna KHunKHar dahan khole hue
aur sone ke chamakte sikke
Dank uThae hue phan phailae
ruh aur dil pe chala karte hain
mulk aur qaum ko din raat Dasa karte hain
roTiyan chaklon ki qahbaen hain
jin ko sarmaya ke dallalon ne
nafa-KHori ke jharokon mein saja rakha hai
baaliyan dhan ki gehun ke sunahre KHoshe
misr o yunan ke majbur ghulamon ki tarah
ajnabi des ke bazaron mein bik jate hain
aur bad-baKHt kisanon ki bilakti hui ruh
apne aflas mein munh Dhanp ke so jati hai
hum kahan jaen kahen kis se ki nadar hain hum
kis ko samjhaen ghulami ke gunahgar hain hum
tauq KHud hum ne pahna rakkha hai armanon ko
apne sine mein jakaD rakkha tufanon ko
ab bhi zindan-e-ghulami se nikal sakte hain
apni taqdir ko hum aap badal sakte hain
(3)
aaj phir hoti hain zaKHmon se zabanen paida
tira-o-tar fazaon se barsata hai lahu
rah ki gard ke niche se ubharte hain qadam
tare aakash pe kamzor hababon ki tarah
shab ke sailab-e-siyahi mein bahe jate hain
phuTne wali hai mazdur ke mathe se kiran
surKH parcham ufuq-e-subh pe lahraate hain
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 177)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.