fareb aur fareb ke darmiyan
mutriba saaz uThā shor-e-shakebā.ī kar
aa ki har sā'at-e-kamyāb ġhanīmat jāneñ
mutriba saaz uThā mujh ko magar nai de de
mere ehsās ko nāzuk sī koī shai de de
terī ḳhud.dār tabī'at kā taqāzā hai yahī
aaj kī raat ye mā'lūm huā
merā maazī mire auhām se zyāda to nahīñ
mujh ko ye vahm thā har shai ko mirī hājat hai
mujh ko ye vahm thā har shai se mujhe ulfat hai
mujh ko ye vahm thā maiñ ‘ālam-e-maujūd kā mustaqbil huuñ
is ke bar-'aks
tab'-e-insān se bargashta huuñ
apnī zid aap haiñ auhām mire maz.hab ke
maiñ bhī majmū'a-e-azdād banā baiThā huuñ
mujh ko ye vahm hai har chiiz yahāñ faanī hai
mujh ko ye vahm hai maiñ ḳhud bhī fasāna huuñ yahāñ
mujh ko ye vahm hai har ḳhvāb mirā jhūTā hai
mujh ko ye vahm hai maiñ nuqta-e-mub.ham huuñ
magar
mutriba tū mire auhām meñ shāmil bhī nahīñ
tū mire vahm kā hāsil bhī nahīñ
mutriba saaz uThā shor-e-shakebā.ī kar
aur ik baar ye hangāma-e-rusvā.ī kar
aur phir jab ki mashiyyat kā taqāza hai yahī
zard chehroñ ke ye mahtāb ġhanīmat jāneñ
mutriba saz uTha shor-e-shakebai kar
aa ki har sa'at-e-kamyab ghanimat jaanen
mutriba saz uTha mujh ko magar nai de de
mere ehsas ko nazuk si koi shai de de
teri KHuddar tabi'at ka taqaza hai yahi
aaj ki raat ye ma'lum hua
mera mazi mere auham se zyaada to nahin
mujh ko ye wahm tha har shai ko meri hajat hai
mujh ko ye wahm tha har shai se mujhe ulfat hai
mujh ko ye wahm tha main ‘alam-e-maujud ka mustaqbil hun
is ke bar-'aks
tab'-e-insan se bargashta hun
apni zid aap hain auham mere mazhab ke
main bhi majmu'a-e-azdad bana baiTha hun
mujh ko ye wahm hai har chiz yahan fani hai
mujh ko ye wahm hai main KHud bhi fasana hun yahan
mujh ko ye wahm hai har KHwab mera jhuTa hai
mujh ko ye wahm hai main nuqta-e-mubham hun
magar
mutriba tu mere auham mein shamil bhi nahin
tu mere wahm ka hasil bhi nahin
mutriba saz uTha shor-e-shakebai kar
aur ek bar ye hangama-e-ruswai kar
aur phir jab ki mashiyyat ka taqaza hai yahi
zard chehron ke ye mahtab ghanimat jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.