fareb-e-nazar
bhīgī bhīgī sī havā.eñ, mahkā mahkā sā chaman
chāñd kī pighlī huī chāñdī se dhartī sīm-tan
shāḳh ke nīche parī-paikar sā koī ḳhanda-zan
champa.ī ruḳhsār, lab rañgīñ, gulābī pairahan
maiñ ne ye samjhā ki tum ho, tum na the vo phuul thā
dhīre dhīre chehra-e-sīmīñ se sarkātā naqāb
raat mai-ḳhāne ke ik goshe se ubhrā māhtāb
phuul bikhrātā tabassum rañg barsātā shabāb
niiñd kī tarsī huī āñkhoñ pe Tapkātā sharāb
maiñ ne ye samjhā ki tum ho tum na the, vo jaam thā
shab ke siine par añdheroñ kī chaTāneñ thiiñ dharī
nā-gahāñ bādal se niklī, muskurātī ik parī
sīm-gūñ māthā, rūpahlā jism maañg afshāñ bharī
dekh kar siine meñ ThanDak aa.e āñkhoñ meñ tirī
maiñ ne ye samjhā ki tum ho tum na the vo chāñd thā
duur tāroñ se jahāñ miltī hai shām-e-rahguzar
ab bhī do parchhā.iyāñ paḌtī haiñ jis kī ḳhaak par
jis jagah mil kar gale chhūTe the ham bā-chashm-e-tar
bār-hā koī mujhe hañstā huā aayā nazar?
maiñ ne ye samjhā ki tum ho, tum kahāñ the vahm thā
husn-e-sīmīñ se fazāoñ meñ ujālā sā kiye
nashsha-e-ahd-e-javānī se pareshāñ, be-piye
surḳh āñkhoñ meñ jalā.e shām-e-mastī ke diye
koī mere paas āyā, haath meñ sāġhar liye
maiñ ne ye samjhā ki tum ho, tum kahāñ the, ḳhvāb thā
bhigi bhigi si hawaen, mahka mahka sa chaman
chand ki pighli hui chandi se dharti sim-tan
shaKH ke niche pari-paikar sa koi KHanda-zan
champai ruKHsar, lab rangin, gulabi pairahan
main ne ye samjha ki tum ho, tum na the wo phul tha
dhire dhire chehra-e-simin se sarkata naqab
raat mai-KHane ke ek goshe se ubhra mahtab
phul bikhraata tabassum rang barsata shabab
nind ki tarsi hui aankhon pe Tapkata sharab
main ne ye samjha ki tum ho tum na the, wo jam tha
shab ke sine par andheron ki chaTanen thin dhari
na-gahan baadal se nikli, muskuraati ek pari
sim-gun matha, rupahla jism mang afshan bhari
dekh kar sine mein ThanDak aae aankhon mein teri
main ne ye samjha ki tum ho tum na the wo chand tha
dur taron se jahan milti hai sham-e-rahguzar
ab bhi do parchhaiyan paDti hain jis ki KHak par
jis jagah mil kar gale chhuTe the hum ba-chashm-e-tar
bar-ha koi mujhe hansta hua aaya nazar?
main ne ye samjha ki tum ho, tum kahan the wahm tha
husn-e-simin se fazaon mein ujala sa kiye
nashsha-e-ahd-e-jawani se pareshan, be-piye
surKH aankhon mein jalae sham-e-masti ke diye
koi mere pas aaya, hath mein saghar liye
main ne ye samjha ki tum ho, tum kahan the, KHwab tha
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 185)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.