fareb-e-nazar
soz-e-ulfat kā aasrā le kar
umr itnī guzār dī maiñ nai
husn kī jāñ-gudāz rāhoñ par
dil kī duniyā nisār kī maiñ ne
zindagī ke hasīn lamhoñ meñ
merī mahbūb giit gaatī thī
chāñdnī ābshār meñ dhul kar
hadiya-e-shauq le ke aatī thī
talḳhī-e-zīst kā vajūd na thā
paas vaadī meñ thī rah-e-takmīl
sarmadī ziist tauf kartī thī
apnī taḳh.īl kī hasīñ tamsīl
zindagī ke hasīn lamhoñ kī
zindagī ḳhud raqīb ban baiThī
yaañ mayassar na ho sakī takmīl
manzil-e-shauq nā-tamām rahī
dil bhī rāz-e-hayāt pā na sakā
talḳhī-e-zīst duur ho na sakī
zindagī yuuñ fareb detī hai
apnī baḳhshish ko chhīn letī hai
sarmadī ziist mujh ko mil na sakī
ek dhuñdlā sā ḳhvāb ho jaise
roz-o-shab yuuñ guzār detā huuñ
zindagī ik sarāb ho jaise
sarmadī ziist aur vo takmīl
apnī taḳh.īl kī hasīñ tamsīl
duur tāroñ kī rahguzār meñ hai
kahkashāñ ke hasīñ ġhubār meñ hai
soz-e-ulfat ka aasra le kar
umr itni guzar di main nai
husn ki jaan-gudaz rahon par
dil ki duniya nisar ki main ne
zindagi ke hasin lamhon mein
meri mahbub git gati thi
chandni aabshaar mein dhul kar
hadiya-e-shauq le ke aati thi
talKHi-e-zist ka wajud na tha
pas wadi mein thi rah-e-takmil
sarmadi zist tauf karti thi
apni taKHil ki hasin tamsil
zindagi ke hasin lamhon ki
zindagi KHud raqib ban baiThi
yan mayassar na ho saki takmil
manzil-e-shauq na-tamam rahi
dil bhi raaz-e-hayat pa na saka
talKHi-e-zist dur ho na saki
zindagi yun fareb deti hai
apni baKHshish ko chhin leti hai
sarmadi zist mujh ko mil na saki
ek dhundla sa KHwab ho jaise
roz-o-shab yun guzar deta hun
zindagi ek sarab ho jaise
sarmadi zist aur wo takmil
apni taKHil ki hasin tamsil
dur taron ki rahguzar mein hai
kahkashan ke hasin ghubar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.