farhad
us se milnā to is tarah kahnā
tujh se pahle mirī nigāhoñ meñ
koī ruup is tarah na utrā thā
tujh se ābād hai ḳharāba-e-dil
varna maiñ kis qadar akelā thā
tere hoñToñ pe kohsār kī os
tere chehre pe dhuup kā jaadū
terī sāñsoñ kī thartharāhaT meñ
koñpaloñ ke kuñvvar kī ḳhushbū
vo kahegī ki in ḳhitāboñ se
aur kis kis pe jaal Daale haiñ
tum ye kahnā ki pesh-e-sāġhar-e-jam
aur sab miTTiyoñ ke pyāle haiñ
aisā karnā ki ehtiyāt ke saath
us ke hāthoñ se haath Takrānā
aur agar ho sake to āñkhoñ meñ
sirf do-chār ashk bhar laanā
ishq meñ ai mubassirīn-e-kirām
yahī taknīk kaam aatī hai
aur yahī le ke Duub jaatī hai
us se milna to is tarah kahna
tujh se pahle meri nigahon mein
koi rup is tarah na utra tha
tujh se aabaad hai KHaraba-e-dil
warna main kis qadar akela tha
tere honTon pe kohsar ki os
tere chehre pe dhup ka jadu
teri sanson ki thartharahaT mein
konpalon ke kunwwar ki KHushbu
wo kahegi ki in KHitabon se
aur kis kis pe jal Dale hain
tum ye kahna ki pesh-e-saghar-e-jam
aur sab miTTiyon ke pyale hain
aisa karna ki ehtiyat ke sath
us ke hathon se hath Takrana
aur agar ho sake to aankhon mein
sirf do-chaar ashk bhar lana
ishq mein ai mubassirin-e-kiram
yahi taknik kaam aati hai
aur yahi le ke Dub jati hai
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(Koh-e-nida) (Pg. 36)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.