fariyaad-e-bewa
beva haiñ nāla-e-ġham hai bā-asar hamārā
taḌpā.egā diloñ ko dard-e-jigar hamārā
sartāj uTh gayā hai āḳhir kidhar hamārā
vīrāñ ho gayā hai ābād ghar hamārā
ibrat kī jā hai phirnā yuuñ dar-ba-dar hamārā
koī nahīñ hai aisā dukhiyā kī jo duā le
bekas yatīm bachche ko kyoñ koī sañbhāle
kis ko ġharaz hai aisī jo god meñ uThā le
hai kaun tum meñ aisā chhātī se jo lagā le
muñh tak rahā hai sab kā laḳht-e-jigar hamārā
dil se duā hai daatā de is se bhī ziyāda
ḳhairāt jān-o-tan kī bachchoñ kā apne sadqa
ham ko bhī ho ināyat roTī kā ek TukḌā
tan Dhāñkne kī ḳhātir kapḌā koī purānā
dekho bilak rahā hai nūr-e-nazar hamārā
ham bhiik māñgne ko aa.e tumhāre aage
ibrat ke haiñ karishme ibrat ke haiñ tamāshe
qurbān jān-o-dil se vaarī tumhāre sadqe
ai bhā.iyo haiñ āḳhir ham bhī ḳhudā ke bande
mil jaa.e kuchh hameñ bhī haq ho agar hamārā
'bāsit' hameñ yaqīñ hai ho be-qarār tum bhī
ham ġham-zadoñ ke dil se ho ġham-gusār tum bhī
ḳhasta-jigar ho tum bhī ho dil-figār tum bhī
hālat hai vo hamārī ho ashk-bār tum bhī
sun lo kabhī jo naala pichhle pahar hamārā
bewa hain nala-e-gham hai ba-asar hamara
taDpaega dilon ko dard-e-jigar hamara
sartaj uTh gaya hai aaKHir kidhar hamara
viran ho gaya hai aabaad ghar hamara
ibrat ki ja hai phirna yun dar-ba-dar hamara
koi nahin hai aisa dukhiya ki jo dua le
bekas yatim bachche ko kyon koi sanbhaale
kis ko gharaz hai aisi jo god mein uTha le
hai kaun tum mein aisa chhati se jo laga le
munh tak raha hai sab ka laKHt-e-jigar hamara
dil se dua hai data de is se bhi ziyaada
KHairaat jaan-o-tan ki bachchon ka apne sadqa
hum ko bhi ho inayat roTi ka ek TukDa
tan Dhankne ki KHatir kapDa koi purana
dekho bilak raha hai nur-e-nazar hamara
hum bhik mangne ko aae tumhaare aage
ibrat ke hain karishme ibrat ke hain tamashe
qurban jaan-o-dil se wari tumhaare sadqe
ai bhaiyo hain aaKHir hum bhi KHuda ke bande
mil jae kuchh hamein bhi haq ho agar hamara
'basit' hamein yaqin hai ho be-qarar tum bhi
hum gham-zadon ke dil se ho gham-gusar tum bhi
KHasta-jigar ho tum bhi ho dil-figar tum bhi
haalat hai wo hamari ho ashk-bar tum bhi
sun lo kabhi jo nala pichhle pahar hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.