fariyaadi matam
ḳhudā-e-lam-yazal kī bārgāh meñ
sar-ba-sujūd!
anā kī chaukhaToñ meñ juḌe chehroñ vaale log
peshāniyoñ par ġhaTTe Dālne meñ masrūf haiñ
aaTe meñ sanī muTThiyāñ
un kī baḳhshish kī zamānat haiñ
ye kaun sī jannat-e-na.īm hai
jis kā rāsta
chiyūñTiyoñ kī bāñabī se ho kar guzartā hai
darbānoñ aur kuttoñ ko khulī āzādī hai
'jāgte raho' kī sadā.eñ
ināyatoñ kā ḳhirāj vasūl karte nahīñ thaktī haiñ
circus kā panDāl khachā-khach bharā hai
maimanoñ ke baaḌe meñ
sahamā-dubka…..ġhhās khātā sher
kaisā be-zarar dikhā.ī detā hai
baunoñ kī uchhal-kūd
falak-shagāf qahqahe…..musalsal qahqahe
tāliyoñ kī gūñj!
mahal-sarā ke band phāTak ko chhū kar lauT aatī hai
bastī ke jahāñ-dīda būḌhe
fariyādī mātam karte
panDāl se ravāna ho jaate haiñ
KHuda-e-lam-yazal ki bargah mein
sar-ba-sujud!
ana ki chaukhaTon mein juDe chehron wale log
peshaniyon par ghaTTe Dalne mein masruf hain
aaTe mein sani muTThiyan
un ki baKHshish ki zamanat hain
ye kaun si jannat-e-naim hai
jis ka rasta
chiyunTiyon ki banabi se ho kar guzarta hai
darbanon aur kutton ko khuli aazadi hai
'jagte raho' ki sadaen
inayaton ka KHiraj wasul karte nahin thakti hain
circus ka panDal khacha-khach bhara hai
maimanon ke baDe mein
sahama-dubka…ghas khata sher
kaisa be-zarar dikhai deta hai
baunon ki uchhal-kud
falak-shagaf qahqahe…musalsal qahqahe
taliyon ki gunj!
mahal-sara ke band phaTak ko chhu kar lauT aati hai
basti ke jahan-dida buDhe
fariyaadi matam karte
panDal se rawana ho jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.