farozan sitara
suno baat ik roz kī maiñ batā.ūñ
kahānī tumheñ aaj us kī sunā.ūñ
mire sāmne jo kisī se na laḌtā
vahī ek laḌkā jo mujh pe thā martā
zamīñ pe jise thā falak se utārā
shakar-lab vo gul thā farozāñ sitārā
jise dekh bādal ne kī chashm pur-nam
fazā meñ thī rangīniyāñ aur sargam
thī siipī sī āñkheñ gulābī sā chehra
ki jaise nadī meñ kahīñ chāñd Thahrā
ġhazal vo thā kahtā mirī shoḳhiyoñ pe
mujhe thā chiḌhātā merī ġhaltiyoñ pe
siyānā bahut aur thoḌā sā nādāñ
anā jaise parvat thī muskān maidāñ
hathelī pe merī jo sau baar soyā
mire sāmne thā sisak kar vo royā
yahī baat mujh se vo kahtā thā aksar
parī apsarā yā ho tum hūr-paikar
parastish ho merī tumhīñ shā.erī ho
mohabbat sanam tum mirī āḳhirī ho
vo chupke se mujh ko yuuñ paiġhām detā
hathelī kī larzish ko thā thaam letā
ishāroñ meñ kahtā thā jo baat dil kī
kahānī hai ye us dil-e-mushta.il kī
anā bhī thī roī thā royā añdherā
ḳhabar us ke jaane kī laayā saverā
thā tūfān aaya ghaTā mailī chhā.ī
kabhī baat dil kī maiñ kah phir na paa.ī
sazā chāhtī huuñ ḳhatā-kār huuñ maiñ
muqaddar nahīñ par tirā pyaar huuñ maiñ
parastish nahīñ maiñ na hī shā.erī huuñ
mohabbat maiñ lekin tirī āḳhrī huuñ
suno baat ek roz ki main bataun
kahani tumhein aaj us ki sunaun
mere samne jo kisi se na laDta
wahi ek laDka jo mujh pe tha marta
zamin pe jise tha falak se utara
shakar-lab wo gul tha farozan sitara
jise dekh baadal ne ki chashm pur-nam
faza mein thi ranginiyan aur sargam
thi sipi si aankhen gulabi sa chehra
ki jaise nadi mein kahin chand Thahra
ghazal wo tha kahta meri shoKHiyon pe
mujhe tha chiDhata meri ghaltiyon pe
siyana bahut aur thoDa sa nadan
ana jaise parwat thi muskan maidan
hatheli pe meri jo sau bar soya
mere samne tha sisak kar wo roya
yahi baat mujh se wo kahta tha aksar
pari apsara ya ho tum hur-paikar
parastish ho meri tumhin shaeri ho
mohabbat sanam tum meri aaKHiri ho
wo chupke se mujh ko yun paigham deta
hatheli ki larzish ko tha tham leta
ishaaron mein kahta tha jo baat dil ki
kahani hai ye us dil-e-mushtail ki
ana bhi thi roi tha roya andhera
KHabar us ke jaane ki laya sawera
tha tufan aaya ghaTa maili chhai
kabhi baat dil ki main kah phir na pai
saza chahti hun KHata-kar hun main
muqaddar nahin par tera pyar hun main
parastish nahin main na hi shaeri hun
mohabbat main lekin teri aaKHri hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.