farz aur qarz
jo muslim hai to jaañ nāmūs-e-millat par fidā kar de
ḳhudā kā farz aur us ke nabī kā qarz adā kar de
bharī mahfil meñ lā saktā na ho gar kufr taab us kī
to zindāñ hī meñ jā kar raushan īmāñ kā diyā kar de
shahādat kī tamanna ho to añgrezī hukūmat par
kisī majlis ke andar nukta-chīnī barmalā kar de
tumhārā qāfila kuchh luT chukā aur kuchh hai luTne ko
rasūlullāh ko is kī ḳhabar bād-e-sabā kar de
zarūrat hai ab is ījād kī dānā-e-maġhrib ko
jo ahl-e-hind ke dāman ko cholī se judā kar de
nikal aane ko hai sūraj ki mashriq meñ ujālā ho
baras jaane ko hai bādal ki gulshan ko harā kar de
qafas kī tīliyoñ par āshiyāñ kā kaaT kar chakkar
falak se gir paḌe bijlī ki bulbul ko rihā kar de
ye hai pahchān ḳhāsān-e-ḳhudā kī har zamāne meñ
ki ḳhush ho kar ḳhudā un ko giraftār-e-balā kar de
jo muslim hai to jaan namus-e-millat par fida kar de
KHuda ka farz aur us ke nabi ka qarz ada kar de
bhari mahfil mein la sakta na ho gar kufr tab us ki
to zindan hi mein ja kar raushan iman ka diya kar de
shahadat ki tamanna ho to angrezi hukumat par
kisi majlis ke andar nukta-chini barmala kar de
tumhaara qafila kuchh luT chuka aur kuchh hai luTne ko
rasulullah ko is ki KHabar baad-e-saba kar de
zarurat hai ab is ijad ki dana-e-maghrib ko
jo ahl-e-hind ke daman ko choli se juda kar de
nikal aane ko hai suraj ki mashriq mein ujala ho
baras jaane ko hai baadal ki gulshan ko hara kar de
qafas ki tiliyon par aashiyan ka kaT kar chakkar
falak se gir paDe bijli ki bulbul ko riha kar de
ye hai pahchan KHasan-e-KHuda ki har zamane mein
ki KHush ho kar KHuda un ko giraftar-e-bala kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.