fasad-e-zat
darīda-pairahanī kal bhī thī aur aaj bhī hai
magar vo aur sabab thā ye aur qissa hai
ye raat aur hai vo raat aur thī jis meñ
har ek ashk meñ sārañgiyāñ sī bajtī thiiñ
ajiib lazzat-e-nazzāra thī hijāb ke saath
har ek zaḳhm mahaktā thā māhtāb ke saath
yahī hayāt-e-gurezāñ baḌī suhānī thī
na tum se rañj na apne se bad-gumānī thī
shikāyat aaj bhī tum se nahīñ ki mahrūmī
tumhāre dar se na miltī to ghar se mil jaatī
tumhārā ahd agar ustuvār hī hotā
to phir bhī dāman-e-dil taar taar hī hotā
ḳhud apnī zaat hī nāḳhun ḳhud apnī zaat hī zaḳhm
ḳhud apnā dil rag-e-jāñ aur ḳhud apnā dil nashtar
fasād-e-ḳhalq bhī ḳhud aur fasād-e-zāt bhī ḳhud
safar kā vaqt bhī ḳhud jañgaloñ kī raat bhī ḳhud
tumhārī sañg-dilī se ḳhafā nahīñ hote
ki ham se apne hī va.ade vafā nahīñ hote
darida-pairahani kal bhi thi aur aaj bhi hai
magar wo aur sabab tha ye aur qissa hai
ye raat aur hai wo raat aur thi jis mein
har ek ashk mein sarangiyan si bajti thin
ajib lazzat-e-nazzara thi hijab ke sath
har ek zaKHm mahakta tha mahtab ke sath
yahi hayat-e-gurezan baDi suhani thi
na tum se ranj na apne se bad-gumani thi
shikayat aaj bhi tum se nahin ki mahrumi
tumhaare dar se na milti to ghar se mil jati
tumhaara ahd agar ustuwar hi hota
to phir bhi daman-e-dil tar tar hi hota
KHud apni zat hi naKHun KHud apni zat hi zaKHm
KHud apna dil rag-e-jaan aur KHud apna dil nashtar
fasad-e-KHalq bhi KHud aur fasad-e-zat bhi KHud
safar ka waqt bhi KHud jangalon ki raat bhi KHud
tumhaari sang-dili se KHafa nahin hote
ki hum se apne hi wade wafa nahin hote
- Book : kulliyat-e-mustafa zaidii(roshni) (Pg. 117)
- Author : mustafa zaidii
- Publication : al hamad publication (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.