fasana-e-ibrat
ta.ajjub meñ huuñ dekh kar rañg-e-ālam
ilāhī ye kyā aa gayā hai zamānā
na pahlī sī vo mehr-o-ulfat kī bāteñ
na aglā sā chāhat kā vo kār-ḳhāna
jidhar dekhiye bas ta.assub, jihālat
jahāñ jā.iye sirf laḌnā laḌānā
jo ta.alīm detā hai jañg-o-jadal kī
vo hai intihā.ī ḳhirad-mand-o-dānā
jo talqīn kartā hai sulh-o-safā kī
vo hai tīr-e-zajr-o-jafā kā nishānā
na ma.alūm kab ye jihālat miTegī
kab aa.egā aish-o-ḳhushī kā zamānā
mileñge gale kab baham milne vaale
bajā.egā iqbāl kab shādiyāna
bas ab chhoḌ do ye zideñ varna yaaro
jahāñ meñ hai mushkil tumhārā Thikānā
rahoge yūñhī pā.emāl-e-jafā tum
rahegā yahī roz ronā-rulānā
natīja ye hogā ki ban jāoge tum
fanā ho ke ik ibratoñ kā fasāna
ye sab barkateñ ahl-e-england kī haiñ
karo jald unheñ ab yahāñ se ravānā
tajjub mein hun dekh kar rang-e-alam
ilahi ye kya aa gaya hai zamana
na pahli si wo mehr-o-ulfat ki baaten
na agla sa chahat ka wo kar-KHana
jidhar dekhiye bas tassub, jihaalat
jahan jaiye sirf laDna laDana
jo talim deta hai jang-o-jadal ki
wo hai intihai KHirad-mand-o-dana
jo talqin karta hai sulh-o-safa ki
wo hai tir-e-zajr-o-jafa ka nishana
na malum kab ye jihaalat miTegi
kab aaega aish-o-KHushi ka zamana
milenge gale kab baham milne wale
bajaega iqbaal kab shadiyana
bas ab chhoD do ye ziden warna yaro
jahan mein hai mushkil tumhaara Thikana
rahoge yunhi paemal-e-jafa tum
rahega yahi roz rona-rulana
natija ye hoga ki ban jaoge tum
fana ho ke ek ibraton ka fasana
ye sab barkaten ahl-e-england ki hain
karo jald unhen ab yahan se rawana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.