fasil-e-shab
dāman-e-dil pe ġhubār-e-rah-e-manzil hai abhī
pā-e-afkār meñ derīna salāsil hai abhī
tīrgī sho.ala-e-ehsās kā hāsil hai abhī
raushnī qaid meñ din kaaT rahī hai ab tak
tishnagī dil kā lahū chaaT rahī hai ab tak
jo nafas hai hadaf-e-dashna-e-qātil hai abhī
dil ke har zaḳhm se ristā hai umīdoñ kā lahū
reg-zāroñ ne kiyā ḳhūn-e-bahārāñ se vuzū
jaane kis raah meñ hai qāfila-e-rang-o-numū
ek ik shāḳh shagūfoñ se hai ḳhālī ab tak
mai-kada Dhaal liyā mai nahīñ Dhālī ab tak
na kahīñ raqs-e-bahārāñ hai na jashn-e-lab-e-jū
raushnī oḌh ke zulmat kā kafan aa.ī hai
ḳhuun meñ Duub ke sūraj kī kiran aa.ī hai
zaḳhm-e-jāñ ban ke sabā sū-e-chaman aa.ī hai
lab-o-ruḳhsār-e-tamanna pe nikhār aa na sakā
ahl-e-dil ko sar-e-manzil bhī qarār aa na sakā
phir vahī rahguzar-e-dār-o-rasan aa.ī hai
phir vahī ḳhvāb-e-sahar le ke chale haiñ ham log
mash.al-e-ḳhūn-e-jigar le ke chale haiñ ham log
in añdheroñ kā bharam toḌ ke dam lenā hai
haañ fasīl-e-shab-e-ġham toḌ ke dam lenā hai
tesha-e-fikr-o-nazar le ke chale haiñ ham log
kuchh dinoñ kashmakash-e-jabr-o-sitam aur sahī
kuchh dinoñ soz-e-darūñ dīda-e-ġham aur sahī
gaam do-gām savād-e-shab-e-ġham aur sahī
sub.h-e-nau ab kisī dīvār ke ghere meñ nahīñ
ham añdhere meñ haiñ manzil to añdhere meñ nahīñ
itnī duur aa.e to do-chār qadam aur sahī
daman-e-dil pe ghubar-e-rah-e-manzil hai abhi
pa-e-afkar mein derina salasil hai abhi
tirgi shoala-e-ehsas ka hasil hai abhi
raushni qaid mein din kaT rahi hai ab tak
tishnagi dil ka lahu chaT rahi hai ab tak
jo nafas hai hadaf-e-dashna-e-qatil hai abhi
dil ke har zaKHm se rista hai umidon ka lahu
reg-zaron ne kiya KHun-e-bahaaran se wuzu
jaane kis rah mein hai qafila-e-rang-o-numu
ek ek shaKH shagufon se hai KHali ab tak
mai-kada Dhaal liya mai nahin Dhaali ab tak
na kahin raqs-e-bahaaran hai na jashn-e-lab-e-ju
raushni oDh ke zulmat ka kafan aai hai
KHun mein Dub ke suraj ki kiran aai hai
zaKHm-e-jaan ban ke saba su-e-chaman aai hai
lab-o-ruKHsar-e-tamanna pe nikhaar aa na saka
ahl-e-dil ko sar-e-manzil bhi qarar aa na saka
phir wahi rahguzar-e-dar-o-rasan aai hai
phir wahi KHwab-e-sahar le ke chale hain hum log
mashal-e-KHun-e-jigar le ke chale hain hum log
in andheron ka bharam toD ke dam lena hai
han fasil-e-shab-e-gham toD ke dam lena hai
tesha-e-fikr-o-nazar le ke chale hain hum log
kuchh dinon kashmakash-e-jabr-o-sitam aur sahi
kuchh dinon soz-e-darun dida-e-gham aur sahi
gam do-gam sawad-e-shab-e-gham aur sahi
subh-e-nau ab kisi diwar ke ghere mein nahin
hum andhere mein hain manzil to andhere mein nahin
itni dur aae to do-chaar qadam aur sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.