fasil-e-zat
maiñ kis manzil pe aa pahuñchā
yahāñ to chāñdnī oḌhe hue
rastoñ kā sannāTā
bahut hī duur tak phailā huā hai
magar maiñ zaat ke gahre qafas meñ
na jaane kab se qaidī huuñ ḳhud apnā
mire hāthoñ pe ye jo rīsmāñ hai
girah meñ is kī āzādī ke panchhī phaḌ.phaḌāte the
magar vo bhī hue be-dam
qafas ke dar pe be-masraf ḳhirad ne
kar liyā qabza
har ik dīvār hadd-e-āsmāñ ma.alūm hotī hai
bahut ūñchī fasīl-e-zāt hai aur shor-e-girya hai
maiñ is se bhaag kar jā.ūñ kahāñ par
yahāñ to chāñdnī oḌhe hue rastoñ kā sannāTā
fasīl-e-zāt ko dhamkā rahā hai
kahīñ rauzan na ho dīvār-o-dar meñ
ye shor-o-ġhul kahīñ bāhar na jaa.e
main kis manzil pe aa pahuncha
yahan to chandni oDhe hue
raston ka sannaTa
bahut hi dur tak phaila hua hai
magar main zat ke gahre qafas mein
na jaane kab se qaidi hun KHud apna
mere hathon pe ye jo risman hai
girah mein is ki aazadi ke panchhi phaDphaDate the
magar wo bhi hue be-dam
qafas ke dar pe be-masraf KHirad ne
kar liya qabza
har ek diwar hadd-e-asman malum hoti hai
bahut unchi fasil-e-zat hai aur shor-e-girya hai
main is se bhag kar jaun kahan par
yahan to chandni oDhe hue raston ka sannaTa
fasil-e-zat ko dhamka raha hai
kahin rauzan na ho diwar-o-dar mein
ye shor-o-ghul kahin bahar na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.