fasl kasht karne tak
fasl kāsht kar luuñ
to tumhārī ḳhabar letā huuñ
fasl kāsht na karūñ
to bhūke mar jā.eñge mere bachche
aur tumhāre bhī
banjar ho jā.egī ye dhartī
gir jā.eñgī dīvāreñ
mere āñgan kī
khul jā.eñge jānvar
apne khūñTe se
uḌ jā.egī rangat
mere chehre kī
chhin jā.egī muskurāhaT
merī biivī kī
kho jā.egī chamak
us kī āñkhoñ se
ho jā.eñge miTTī
mere ḳhvāb
fasl kāsht karne tak
khīñch sakte ho tanābeñ mere dil kī
kaaT sakte ho merī gardan
ujaaḌ sakte ho merī zindagī
Dhā sakte ho tum har zulm
fasl kasht kar lun
to tumhaari KHabar leta hun
fasl kasht na karun
to bhuke mar jaenge mere bachche
aur tumhaare bhi
banjar ho jaegi ye dharti
gir jaengi diwaren
mere aangan ki
khul jaenge jaanwar
apne khunTe se
uD jaegi rangat
mere chehre ki
chhin jaegi muskurahaT
meri biwi ki
kho jaegi chamak
us ki aankhon se
ho jaenge miTTi
mere KHwab
fasl kasht karne tak
khinch sakte ho tanaben mere dil ki
kaT sakte ho meri gardan
ujaD sakte ho meri zindagi
Dha sakte ho tum har zulm
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.