fasl
suno maiñ ne sunā hai
ye zamīñ sonā ugaltī hai
bahut zarḳhez hai jis chiiz ke bhī biij Dāleñ
fasl us kī chand din meñ lahlahātī hai
to phir ik kaam karte haiñ
mujhe tum is zamīñ ke kuchh murabbe do
maiñ is meñ haath bo.ūñgī
mujhe hairat se mat dekho
suno jab maiñ zamīñ meñ haath bo.ūñgī
to is meñ anginat hāthoñ kī fasleñ
lahlahā.eñgī
phir un hāthoñ meñ ham ik ik qalam de kar
kaheñge
vo hamāre karb ko jāneñ hamāre ḳhauf ko likkheñ
vo ik Dar jo hameñ jiine nahīñ detā
lahū ko munjamid kar ke samundar biich
tanhā chhoḌ detā hai
jo ummīdoñ kī gāgar toḌ detā hai
un hāthoñ se kaheñge
vo hamāre dard ko likkheñ
batā deñ saarī duniyā ko
hamāre ḳhvāb be-ta.abīr haiñ
saarī duā.eñ āsmāñ kī samt taktī haiñ
hamāre ghar ke chūlhe sard haiñ
bachchoñ ke chehre zard haiñ
jiinā hai ik aisī sazā-e-bā-mashaqqat
jis ke chaudah saal puure hī nahīñ hote
suno main ne suna hai
ye zamin sona ugalti hai
bahut zarKHez hai jis chiz ke bhi bij Dalen
fasl us ki chand din mein lahlahati hai
to phir ek kaam karte hain
mujhe tum is zamin ke kuchh murabbe do
main is mein hath boungi
mujhe hairat se mat dekho
suno jab main zamin mein hath boungi
to is mein anginat hathon ki faslen
lahlahaengi
phir un hathon mein hum ek ek qalam de kar
kahenge
wo hamare karb ko jaanen hamare KHauf ko likkhen
wo ek Dar jo hamein jine nahin deta
lahu ko munjamid kar ke samundar bich
tanha chhoD deta hai
jo ummidon ki gagar toD deta hai
un hathon se kahenge
wo hamare dard ko likkhen
bata den sari duniya ko
hamare KHwab be-tabir hain
sari duaen aasman ki samt takti hain
hamare ghar ke chulhe sard hain
bachchon ke chehre zard hain
jina hai ek aisi saza-e-ba-mashaqqat
jis ke chaudah sal pure hi nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.