fata-kallamu tarafu
tabīb bhinbhinā gayā
maiñ sab ilaaj kar ke thak gayā huuñ
par ye bachcha boltā nahīñ
zabān is kī tandurust hai
kahīñ bhī koī raḳhna, koī naqs, maiñ nahīñ samajh sakā
badan bhī tandurust hai magar ye naunihāl chaar saal kā
ishāroñ se hī baat karnā jāntā hai, kyā karūñ?
ise kisī specialist ke paas le ke jā.iye
ye maiñ thā chaar saal kaa!
mirī zabān band thī
kalām mujh se jaise chhin gayā thā pahle din se hī
jo do baras kā mujh se chhoTā bhaa.ī thā vo ḳhuub boltā thaa, par
na jaane kaise merī jiibh guñg thī
maiñ summun bukmum thaa, be-zabān, dam-ba-ḳhud
ki jaise chup kā roza rakh ke jī chukā thā chaar saal kī ye umr-e-muḳhtasar
ajiib mo.ajaza huā ki ek din
maiñ apne ghar kī DevḌhī meñ summun bukmum khaḌā huā
tamāsha dekhtā thā ik julūs kā
alam uThā.e jis meñ log ''yā husain'' ''yā husain'' kahte
siina pīTte, lahū-luhān jā rahe the
aur maiñ jise zabān-āvarī kā kuchh pata na thā
na jaane kaise is sukūt ke añdhere ġhaar se nikal ke bol uThā
''husain! yā husain! yā husain!!''
aur phir mirā sukūt
nutq meñ, kalām meñ, suḳhan meñ Dhal gayā
maiñ saaf bolne lagā
tabib bhinbhina gaya
main sab ilaj kar ke thak gaya hun
par ye bachcha bolta nahin
zaban is ki tandurust hai
kahin bhi koi raKHna, koi naqs, main nahin samajh saka
badan bhi tandurust hai magar ye naunihaal chaar sal ka
ishaaron se hi baat karna jaanta hai, kya karun?
ise kisi specialist ke pas le ke jaiye
ye main tha chaar sal ka!
meri zaban band thi
kalam mujh se jaise chhin gaya tha pahle din se hi
jo do baras ka mujh se chhoTa bhai tha wo KHub bolta tha, par
na jaane kaise meri jibh gung thi
main summun bukmum tha, be-zaban, dam-ba-KHud
ki jaise chup ka roza rakh ke ji chuka tha chaar sal ki ye umr-e-muKHtasar
ajib moajaza hua ki ek din
main apne ghar ki DewDhi mein summun bukmum khaDa hua
tamasha dekhta tha ek julus ka
alam uThae jis mein log ya husain ya husain kahte
sina piTte, lahu-luhan ja rahe the
aur main jise zaban-awari ka kuchh pata na tha
na jaane kaise is sukut ke andhere ghaar se nikal ke bol uTha
husain! ya husain! ya husain!!
aur phir mera sukut
nutq mein, kalam mein, suKHan mein Dhal gaya
main saf bolne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.