bap
vo ek pul thā
mire aur ajdād ke zamānoñ kā nuqta-e-ittisāl
us kī guzargāhoñ se rivāyatoñ aur hikāyatoñ ke hazār-hā qāfile nikal kar
na.e zamāne kī yūrishoñ se mirī bikhartī anā meñ
ulfat yaqīn aur e'timād ke rang bhar ga.e haiñ
vo ek pul aaj TuuT kar gahrī ghāTiyoñ meñ girā hai
ab maiñ khaḌā huuñ
un gahrī ghāTiyoñ par
maiñ ek pul huuñ
vo ek bargad thā
jis kī chhāñv meñ ek ThanDī miThās thī
jis ne jalte sūraj kī hiddateñ apne jism meñ jazb kar ke
us kī sunahrī kirnoñ ko ThanDī shabnam kī tarah
merī ujaaḌ āñkhoñ meñ qatra qatra utārā
vo aaj hiddatoñ ke vafūr se jal gayā
to ab maiñ hī ek bargad huuñ
aane vāloñ ke vāste ek ThanDī chhāñv
vo ek javvāla thā
vo bharpūr ziist karne kī ek sīmābī aarzū
vo lahū kī dhaḌkan
jo raat kī zulmatoñ pe shab-ḳhūn maar kar
raushnī aur ummīd ke darīchoñ ko kholtā
aaj shab kā saffāk haath
us ke lahū kī dhaḌkan ko le uḌā
aur ab faqat maiñ huuñ
raat kī zulmatoñ se panja-fagan
wo ek pul tha
mere aur ajdad ke zamanon ka nuqta-e-ittisal
us ki guzargahon se riwayaton aur hikayaton ke hazar-ha qafile nikal kar
nae zamane ki yurishon se meri bikharti ana mein
ulfat yaqin aur e'timad ke rang bhar gae hain
wo ek pul aaj TuT kar gahri ghaTiyon mein gira hai
ab main khaDa hun
un gahri ghaTiyon par
main ek pul hun
wo ek bargad tha
jis ki chhanw mein ek ThanDi miThas thi
jis ne jalte suraj ki hiddaten apne jism mein jazb kar ke
us ki sunahri kirnon ko ThanDi shabnam ki tarah
meri ujaD aankhon mein qatra qatra utara
wo aaj hiddaton ke wafur se jal gaya
to ab main hi ek bargad hun
aane walon ke waste ek ThanDi chhanw
wo ek jawwala tha
wo bharpur zist karne ki ek simabi aarzu
wo lahu ki dhaDkan
jo raat ki zulmaton pe shab-KHun mar kar
raushni aur ummid ke darichon ko kholta
aaj shab ka saffak hath
us ke lahu ki dhaDkan ko le uDa
aur ab faqat main hun
raat ki zulmaton se panja-fagan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.