walid
abbā tum mujh ko yaad aate ho
tum mujhe har ghaḌī rulāte ho
tum ga.e ho akelā kar ke mujhe
kar diyā zinda tum ne mar ke mujhe
bāñhoñ vaalī vo khatiyā ḳhālī hai
raat kyā zindagī hī kaalī hai
zindagī ḳhālī ḳhālī lagtī hai
bas yahī soch dil meñ paltī hai
sirf tanhā.ī dekhtā huuñ ab
jaane kyā kyā maiñ sochtā huuñ ab
kaun ab hausla baḌhā.egā
kaun ab piiTh thapthapā-e-gā
kaun ab sar pe haath rakkhegā
mere baare meñ kaun sochegā
kaun degā dilāsa duniyā meñ
ab rahūñgā maiñ pyāsā duniyā meñ
kaun DāñTegā ġhalatī karne par
kaun Tokegā ab mujhe yaaro
bin tumhāre to suunā sab ghar hai
dil meñ har vaqt ik nayā Dar hai
kaun bolegā khānā khā beTā
kaun pūchhegā tū kahāñ par hai
kaun ab pyaar se pukāregā
kaun ab zindagī sañvāregā
kis ke nazdīk ab maiñ baiThūñgā
dil kī bāteñ maiñ kis se bolūñgā
tum se har baat maiñ share kartā
tum the to maiñ kabhī nahīñ Dartā
ab maiñ kaise rahūñ be-ḳhauf-o-ḳhatar
sāmne lākhoñ dukh khaḌe haiñ satar
bas yahī fikr khā rahī hai mujhe
aap kī yaad aa rahī hai mujhe
zindagī kis qadar akelī hai
koī uljhī huī pahelī hai
tum ne ye zindagānī dī hai mujhe
koī apnī kahānī dī hai mujhe
har kahānī ko ḳhatm honā hai
zindagānī ko ḳhatm honā hai
haañ magar is se pahle kyā hogā
sochtā huuñ ki jaane kyā hogā
koī apnā na thā tumhāre sivā
mere dukh dard kī tumhīñ the davā
jab mujhe koī ġham satātā thā
tum ko har baat maiñ batātā thā
tum mujhe pyaar se biThāte the
aur dhīre se muskurāte the
phir maiñ har ġham ko bhuul jaatā thā
aur phir maiñ bhī muskurātā thā
abbā ab meñ akelā kaise jiyūñ
itne dukh dard ġham maiñ kaise sahūñ
merī himmat the hausla the tum
zinda rahne kā aasrā the tum
merī himmat bhī hausla bhī gayā
zinda rahne kā aasrā bhī gayā
ab faqat āh-o-zārī hai dil meñ
ik na.ī jañg jaarī hai dil meñ
dhaḌkaneñ tham ke ab dhaḌaktī haiñ
sāñseñ har vaqt ab phaḌaktī haiñ
aap ke chehre kī ziyārat ho
phir mujhe āñkhoñ se mohabbat ho
aap kā chehra kho gayā hai kahāñ
dhuñdhlā dhuñdhlā huā hai merā jahāñ
tum ne is pyaar se navāzā thā
pyaar vo koī de nahīñ saktā
tum ne maañ kī kamī na hone dī
zindagī meñ namī na hone dī
ham-nafas tum the tum hī dil-bar the
ham-safar tum the tum hī rahbar the
kaun ab sīdhī rah dikhā.egā
kaun ab rāste banā.egā
kaun ab pyaar se khilā.egā
kaun āġhosh meñ sulā.egā
ab mirā haath kaun thāmegā
kaun ab merā bojh uThā.egā
jab se duniyā se tum ga.e abbā
mere sukh chain kho ga.e abbā
tanhā tanhā huuñ be-sahārā huuñ
koī bujhtā huā sitārā huuñ
mujh pe ġham kā pahāḌ TuuTā hai
aap kā saath jab se chhūTā hai
beach dariyā meñ chhoḌ dī kashtī
itnī jaldī batāo kyoñ kar dī
ye bhī sochā nahīñ ki kyā hogā
aap kā beTā Dūbtā hogā
is ko ab kaun paar lā.egā
ab vo dariyā meñ ġhote khā.egā
nā-ḳhudā tum the tum masīhā the
tum hī māñjhī the tum hī nayyā the
baat ek aur hai jo karnī hai
zindagī is tarah guzarnī hai
jaise paanī binā koī machhlī
ḳhuub taḌpī bahut bahut phaḌkī
aur taḌapte hue phaḌakte hue
bas yahī kah ga.ī vo marte hue
bin sahāre koī nahīñ jiitā
chāhe vo sher ho yā ho chītā
merā har ik sahārā kho hī gayā
phuuT kar aaj maiñ bhī ro hī gayā
pahle ammī ga.iiñ ab abbā ga.e
haa.e ab maiñ yatīm ho hī gayā
abba tum mujh ko yaad aate ho
tum mujhe har ghaDi rulate ho
tum gae ho akela kar ke mujhe
kar diya zinda tum ne mar ke mujhe
banhon wali wo khatiya KHali hai
raat kya zindagi hi kali hai
zindagi KHali KHali lagti hai
bas yahi soch dil mein palti hai
sirf tanhai dekhta hun ab
jaane kya kya main sochta hun ab
kaun ab hausla baDhaega
kaun ab piTh thapthapa-e-ga
kaun ab sar pe hath rakkhega
mere bare mein kaun sochega
kaun dega dilasa duniya mein
ab rahunga main pyasa duniya mein
kaun DanTega ghalati karne par
kaun Tokega ab mujhe yaro
bin tumhaare to suna sab ghar hai
dil mein har waqt ek naya Dar hai
kaun bolega khana kha beTa
kaun puchhega tu kahan par hai
kaun ab pyar se pukarega
kaun ab zindagi sanwarega
kis ke nazdik ab main baiThunga
dil ki baaten main kis se bolunga
tum se har baat main share karta
tum the to main kabhi nahin Darta
ab main kaise rahun be-KHauf-o-KHatar
samne lakhon dukh khaDe hain satar
bas yahi fikr kha rahi hai mujhe
aap ki yaad aa rahi hai mujhe
zindagi kis qadar akeli hai
koi uljhi hui paheli hai
tum ne ye zindagani di hai mujhe
koi apni kahani di hai mujhe
har kahani ko KHatm hona hai
zindagani ko KHatm hona hai
han magar is se pahle kya hoga
sochta hun ki jaane kya hoga
koi apna na tha tumhaare siwa
mere dukh dard ki tumhin the dawa
jab mujhe koi gham satata tha
tum ko har baat main batata tha
tum mujhe pyar se biThate the
aur dhire se muskuraate the
phir main har gham ko bhul jata tha
aur phir main bhi muskuraata tha
abba ab mein akela kaise jiyun
itne dukh dard gham main kaise sahun
meri himmat the hausla the tum
zinda rahne ka aasra the tum
meri himmat bhi hausla bhi gaya
zinda rahne ka aasra bhi gaya
ab faqat aah-o-zari hai dil mein
ek nai jang jari hai dil mein
dhaDkanen tham ke ab dhaDakti hain
sansen har waqt ab phaDakti hain
aap ke chehre ki ziyarat ho
phir mujhe aankhon se mohabbat ho
aap ka chehra kho gaya hai kahan
dhundhla dhundhla hua hai mera jahan
tum ne is pyar se nawaza tha
pyar wo koi de nahin sakta
tum ne man ki kami na hone di
zindagi mein nami na hone di
ham-nafas tum the tum hi dil-bar the
ham-safar tum the tum hi rahbar the
kaun ab sidhi rah dikhaega
kaun ab raste banaega
kaun ab pyar se khilaega
kaun aaghosh mein sulaega
ab mera hath kaun thamega
kaun ab mera bojh uThaega
jab se duniya se tum gae abba
mere sukh chain kho gae abba
tanha tanha hun be-sahaara hun
koi bujhta hua sitara hun
mujh pe gham ka pahaD TuTa hai
aap ka sath jab se chhuTa hai
beach dariya mein chhoD di kashti
itni jaldi batao kyon kar di
ye bhi socha nahin ki kya hoga
aap ka beTa Dubta hoga
is ko ab kaun par laega
ab wo dariya mein ghote khaega
na-KHuda tum the tum masiha the
tum hi manjhi the tum hi nayya the
baat ek aur hai jo karni hai
zindagi is tarah guzarni hai
jaise pani bina koi machhli
KHub taDpi bahut bahut phaDki
aur taDapte hue phaDakte hue
bas yahi kah gai wo marte hue
bin sahaare koi nahin jita
chahe wo sher ho ya ho chita
mera har ek sahaara kho hi gaya
phuT kar aaj main bhi ro hi gaya
pahle ammi gain ab abba gae
hae ab main yatim ho hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.