walid ki yaad mein
sahar ke saath vo ḳhāmosh ho chukā hai magar
sharāb-e-nūr musalsal pilā rahā hai mujhe
mirī nigāhoñ se rū-posh ho chukā hai magar
qadam qadam pe vo sūrat dikhā rahā hai mujhe
makān meñ nazar aatā nahīñ kahīñ bhī magar
maiñ us ko DhūñDūñ to be-intihā mohabbat se
mujhe vo dauḌ kar apne gale lagātā hai
palang us kā hai kHālī magar usī par vo
maiñ ro paḌūñ to mujhe pyaar se biThātā hai
maiñ ġham kī dhuup meñ jalne lagūñ to rah rah kar
mirī jabīñ pe vo shafqat se haath rakhtā hai
vo mere paas mire saath har ghaḌī hai magar
jo log qabr meñ us ko utaar aa.e haiñ
haiñ sogvār dilā.ūñ unheñ yaqīñ kyūñkar
marā nahīñ hai mirā baap ab bhī zinda hai
sahar ke sath wo KHamosh ho chuka hai magar
sharab-e-nur musalsal pila raha hai mujhe
meri nigahon se ru-posh ho chuka hai magar
qadam qadam pe wo surat dikha raha hai mujhe
makan mein nazar aata nahin kahin bhi magar
main us ko DhunDun to be-intiha mohabbat se
mujhe wo dauD kar apne gale lagata hai
palang us ka hai kHali magar usi par wo
main ro paDun to mujhe pyar se biThata hai
main gham ki dhup mein jalne lagun to rah rah kar
meri jabin pe wo shafqat se hath rakhta hai
wo mere pas mere sath har ghaDi hai magar
jo log qabr mein us ko utar aae hain
hain sogwar dilaun unhen yaqin kyunkar
mara nahin hai mera bap ab bhi zinda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.