fauj-e-sulaimani
mire jab ek bachcha thā to thī ye aish-sāmānī
kabhī murġh-e-musallam thā kabhī paktī thī biryānī
na kuchh begam kā mujh se kam thā zauq-e-jalva-sāmānī
agar maiñ din kā raaja thā to vo thī raat kī raanī
na aatā thā kabhī dil meñ ḳhayāl zoja-e-sānī
ki maiñ biivī kā dīvāna thā biivī merī dīvānī
kamī koī na thī ai dost har shai kī thī arzānī
kuchh english maal thā ghar meñ to kuchh sāmān jāpānī
sirhāne radio rakkhā huā rahtā thā jāpānī
latā mangeshkar kī roz suntā thā ġhazal-ḳhvānī
ik arse tak to guzrī zindagī yuuñ hī bā-āsānī
na do bachchoñ tak aa.ī bhuul kar ghar meñ pareshānī
huā haañ tīsrā bachcha to do item bā-āsānī
hue ġhā.eb na phir murġhā rahā baaqī na biryānī
magar ye zindagī phir bhī mirī ġham se thī anjānī
ki thī tanḳhvāh kaafī kaam chaltā thā bā-āsānī
chalā jab silsila bachchoñ kī paidā.ish kā tūlānī
to ġhurbat meñ badal kar rah ga.ī sab aish-sāmānī
vo mujh par āThveñ bachche ke baad aa.ī pareshānī
ki yāroñ tak ne pahchānī huī sūrat na pahchānī
vahī biivī ki jis ko saas kahtī thī bahū raanī
vahī biivī hai ab in be-tuke bachchoñ kī mullānī
bikā zevar huī qurqī ġharaz har shai huī faanī
jidhar dekho udhar ghar meñ hai ik fauj-e-sulaimānī
azīz-o-aqrabā ko dekh kar hai mujh ko hairānī
kisī ne bhī na ġhurbat meñ mirī kī ashk-afshānī
kahā us ne yahī jis ne sunā hāl-e-pareshānī
charā kaare kunad aaqil ki baaz aayad pashemānī
mere jab ek bachcha tha to thi ye aish-samani
kabhi murgh-e-musallam tha kabhi pakti thi biryani
na kuchh begam ka mujh se kam tha zauq-e-jalwa-samani
agar main din ka raja tha to wo thi raat ki rani
na aata tha kabhi dil mein KHayal zoja-e-sani
ki main biwi ka diwana tha biwi meri diwani
kami koi na thi ai dost har shai ki thi arzani
kuchh english mal tha ghar mein to kuchh saman japani
sirhane radio rakkha hua rahta tha japani
lata mangeshkar ki roz sunta tha ghazal-KHwani
ek arse tak to guzri zindagi yun hi ba-asani
na do bachchon tak aai bhul kar ghar mein pareshani
hua han tisra bachcha to do item ba-asani
hue ghaeb na phir murgha raha baqi na biryani
magar ye zindagi phir bhi meri gham se thi anjaani
ki thi tanKHwah kafi kaam chalta tha ba-asani
chala jab silsila bachchon ki paidaish ka tulani
to ghurbat mein badal kar rah gai sab aish-samani
wo mujh par aaThwen bachche ke baad aai pareshani
ki yaron tak ne pahchani hui surat na pahchani
wahi biwi ki jis ko sas kahti thi bahu rani
wahi biwi hai ab in be-tuke bachchon ki mullani
bika zewar hui qurqi gharaz har shai hui fani
jidhar dekho udhar ghar mein hai ek fauj-e-sulaimani
aziz-o-aqraba ko dekh kar hai mujh ko hairani
kisi ne bhi na ghurbat mein meri ki ashk-afshani
kaha us ne yahi jis ne suna haal-e-pareshani
chara kare kunad aaqil ki baz aayad pashemani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.