fawwara
aah favvāre tire dil meñ hai kitnā iztirāb
har ghaḌī hai zindagī terī rahīn-e-inqalāb
kis qadar hai dil meñ tere iltihāb-o-inshiqāq
kyā tujhe bhī hai kisī se shikva-e-ranj-e-firāq
hai tirī hastī bhī kyā andoh kī sarmāya-dār
kyā tirā dil bhī vafūr-e-ranj se hai be-qarār
kyā tujhe bhī intizār-e-āmad-e-mahbūb hai
kyoñ pareshāñ is qadar hai kyā tujhe matlūb hai
uf tire motī se aañsū jā rahe haiñ rā.egāñ
haañ magar tujh ko mohabbat meñ ḳhayāl is kā kahāñ
haañ magar pinhāñ hai in ashkoñ meñ ik rāz-e-hayāt
de rahā hai qurb ke paudoñ ko tū apne sabāt
kaash lete tujh se ye insān bhī dars-e-amal
phir dimāġhoñ meñ na rahtā is qadar un ke ḳhalal
aah fawware tere dil mein hai kitna iztirab
har ghaDi hai zindagi teri rahin-e-inqalab
kis qadar hai dil mein tere iltihab-o-inshiqaq
kya tujhe bhi hai kisi se shikwa-e-ranj-e-firaq
hai teri hasti bhi kya andoh ki sarmaya-dar
kya tera dil bhi wafur-e-ranj se hai be-qarar
kya tujhe bhi intizar-e-amad-e-mahbub hai
kyon pareshan is qadar hai kya tujhe matlub hai
uf tere moti se aansu ja rahe hain raegan
han magar tujh ko mohabbat mein KHayal is ka kahan
han magar pinhan hai in ashkon mein ek raaz-e-hayat
de raha hai qurb ke paudon ko tu apne sabaat
kash lete tujh se ye insan bhi dars-e-amal
phir dimaghon mein na rahta is qadar un ke KHalal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.