faza-e-hairat
sahar kī kaliyāñ luTī huī haiñ
guloñ kī shāḳheñ jhukī huī haiñ
hasīn tālāb ke kināre
hasīn pariyāñ khaḌī huī haiñ
ba-zer-e-shāḳh-e-gul-e-shagufta maiñ sūrat-e-sham.a chup khaḌī huuñ
fazā meñ koyal kī ik sadā hai
tamām jangal laraz rahā hai
hasīn duniyā kī rahne vaalī
hasīñ fazāoñ meñ naġhma-zā hai
maiñ misl ik ġhuncha-e-fasurda navā-e-tasvīr ban rahī huuñ
ye kaun manzar hai pesh-e-duniyā
ye kaisī duniyā hai husn-ārā
ye kyā tamāshā sā ho rahā hai
ye kaise manzar haiñ jalva-ārā
maiñ dil meñ tasvīr khīñchtī huuñ nigāh-e-hairat se dekhtī huuñ
ye kyā hai ai merī chashm-e-hairāñ
hai kyā tamāshā ruḳh-e-gulistāñ
maiñ kyā karūñ is musavvirī ko
mujhe hai uljhan mujhe hai ḳhaljān
idhar udhar ko jo dekhtī huuñ hasīn taa.ir haiñ zamzama-zā
vo un kā gaanā ba-sad-masarrat
ye kyoñ navā hai navā-e-ishrat
ye un ke naġhme rabāb-e-jannat
haiñ sūrat-e-sham.a mahv-e-hairat
ilāhī is musht-e-par meñ chhup kar adā se ye kaun gā rahā hai
ki dil pe choTeñ lagā rahā hai
jigar meñ Tīseñ uThā rahā hai
fazā meñ naġhme luTā rahā hai
mujhe pareshāñ banā rahā hai
yeh misl-e-dīvār chup khaḌī hoñ ye kaun gaatā hai is adā se
fazā meñ naġhmoñ kī ye nazākat
ye phuul chun kar huuñ mahv-e-hairat
maiñ kyā karūñ zamzamoñ kā yā-rab
ye hai ta.ajjub ye hī hai hairat
'jamāl' hairān-o-pur-tahayyur hai husn-e-duniyā fazā-e-hairat
sahar ki kaliyan luTi hui hain
gulon ki shaKHen jhuki hui hain
hasin talab ke kinare
hasin pariyan khaDi hui hain
ba-zer-e-shaKH-e-gul-e-shagufta main surat-e-shama chup khaDi hun
faza mein koyal ki ek sada hai
tamam jangal laraz raha hai
hasin duniya ki rahne wali
hasin fazaon mein naghma-za hai
main misl ek ghuncha-e-fasurda nawa-e-taswir ban rahi hun
ye kaun manzar hai pesh-e-duniya
ye kaisi duniya hai husn-ara
ye kya tamasha sa ho raha hai
ye kaise manzar hain jalwa-ara
main dil mein taswir khinchti hun nigah-e-hairat se dekhti hun
ye kya hai ai meri chashm-e-hairan
hai kya tamasha ruKH-e-gulistan
main kya karun is musawwiri ko
mujhe hai uljhan mujhe hai KHaljaan
idhar udhar ko jo dekhti hun hasin tair hain zamzama-za
wo un ka gana ba-sad-masarrat
ye kyon nawa hai nawa-e-ishrat
ye un ke naghme rabab-e-jannat
hain surat-e-shama mahw-e-hairat
ilahi is musht-e-par mein chhup kar ada se ye kaun ga raha hai
ki dil pe choTen laga raha hai
jigar mein Tisen uTha raha hai
faza mein naghme luTa raha hai
mujhe pareshan bana raha hai
yeh misl-e-diwar chup khaDi hon ye kaun gata hai is ada se
faza mein naghmon ki ye nazakat
ye phul chun kar hun mahw-e-hairat
main kya karun zamzamon ka ya-rab
ye hai tajjub ye hi hai hairat
'jamal' hairan-o-pur-tahayyur hai husn-e-duniya faza-e-hairat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.