fazā ye būḌhī lagtī hai
purānā lagtā hai makāñ
samundaroñ ke pāniyoñ se niil ab utar chukā
havā ke jhoñke chhūte haiñ to khurdure se lagte haiñ
bujhe hue bahut se TukḌe āftāb ke
jo girte haiñ zamīn kī taraf to aisā lagtā hai
ki daañt girne lag ga.e haiñ buDDhe āsmān ke
fazā ye būḌhī lagtī hai
purānā lagtā hai makāñ
faza ye buDhi lagti hai
purana lagta hai makan
samundaron ke paniyon se nil ab utar chuka
hawa ke jhonke chhute hain to khurdure se lagte hain
bujhe hue bahut se TukDe aaftab ke
jo girte hain zamin ki taraf to aisa lagta hai
ki dant girne lag gae hain buDDhe aasman ke
faza ye buDhi lagti hai
purana lagta hai makan
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 357)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011Quarterly TASTEER Lahore
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.