female bull-fighter
kyā raat meñ bistar ḳhālī rakhnā achchhā hotā hai
bahut tandahī se kaam kar rahe ho
zarā bhī idhar nahīñ dekh rahe
dekho idhar dekho
yahāñ jahāñ maiñ paḌī huī huuñ
tumhārī paintings kī kitāboñ kī tarah
jinheñ tum ne kal ke liye uThā rakhā hai
Thiik hai kah lo mujhe be-sharm
ab sirf ye underwear baaqī hai
use bhī utaar pheñkūñ
to kyā tum muḌ ke dekh loge dekho
maiñ apnī underwear bhī tumhārī taraf pheñk rahī huuñ
kal bhī tum ne yahī kiyā thā
maiñ tumhāre intizār meñ leTe leTe so ga.ī
aur niiñd meñ
tauba tumheñ apnā ḳhvāb sunāte hue bhī
mere pasīne chhūT rahe haiñ
ḳhvāb meñ bahut se log
ek bull se merī laḌā.ī dekh rahe haiñ
vo apnī sīñgeñ
mere jism ke har hisse se
Takrā rahā hai
meñ ḳhauf-zada hote hue bhī
us kī sīñgoñ ke vaar apne jism par paḌte hue
ḳhush ho rahī huuñ
tamām tar aziyyat ke bāvajūd
lazzatoñ ke lahū meñ nahā.ī huī
lahūluhān hote hue ek baar maiñ ne
use apne uupar chaḌhā hī liyā
sīñgoñ ko pakaḌte hue
merī aañkh khul ga.ī
maiñ zamīn par chit paḌī thī
tumhārī masrūfiyat ne to merī jaan hī le lī hai
kya raat mein bistar KHali rakhna achchha hota hai
bahut tandahi se kaam kar rahe ho
zara bhi idhar nahin dekh rahe
dekho idhar dekho
yahan jahan main paDi hui hun
tumhaari paintings ki kitabon ki tarah
jinhen tum ne kal ke liye uTha rakha hai
Thik hai kah lo mujhe be-sharm
ab sirf ye underwear baqi hai
use bhi utar phenkun
to kya tum muD ke dekh loge dekho
main apni underwear bhi tumhaari taraf phenk rahi hun
kal bhi tum ne yahi kiya tha
main tumhaare intizar mein leTe leTe so gai
aur nind mein
tauba tumhein apna KHwab sunate hue bhi
mere pasine chhuT rahe hain
KHwab mein bahut se log
ek bull se meri laDai dekh rahe hain
wo apni singen
mere jism ke har hisse se
Takra raha hai
mein KHauf-zada hote hue bhi
us ki singon ke war apne jism par paDte hue
KHush ho rahi hun
tamam tar aziyyat ke bawajud
lazzaton ke lahu mein nahai hui
lahuluhan hote hue ek bar main ne
use apne upar chaDha hi liya
singon ko pakaDte hue
meri aankh khul gai
main zamin par chit paDi thi
tumhaari masrufiyat ne to meri jaan hi le li hai
- Book : Jalta Hai Badan (Pg. 90)
- Author : Zahid Hasan
- Publication : Apnaidara, Lahore (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.