Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id ka chand

Zafar Sambhali

id ka chand

Zafar Sambhali

MORE BYZafar Sambhali

    lo phir ufuq pe aaya nazar iid hilāl

    phir yaad aaya mujh ko koī paikar-e-jamāl

    aane lage haiñ zehn meñ maazī ke phir ḳhayāl

    betāb ho ke kar diyā dil ne ye savāl

    is saal bhī kisī mujhe ho sakegī diid

    is saal bhī 'zafar' ye kaho ho sakegī eid

    sun kar savāl dil maiñ ranjūr ho gayā

    patthar se jaise shīsha koī chuur ho gayā

    kar ġham-e-hayāt ko maḳhmūr ho gayā

    utrā nasha to kahne pe majbūr ho gayā

    kyā us eid hogī jo bichhḌā ho yaar se

    sūkhe hue shajar ko ġharaz kyā bahār se

    lo phir ufuq pe aaya nazar id ka hilal

    phir yaad aaya mujh ko koi paikar-e-jamal

    aane lage hain zehn mein mazi ke phir KHayal

    betab ho ke kar hi diya dil ne ye sawal

    is sal bhi kisi ki mujhe ho sakegi did

    is sal bhi 'zafar' ye kaho ho sakegi eid

    sun kar sawal dil ka main ranjur ho gaya

    patthar se jaise shisha koi chur ho gaya

    pi kar gham-e-hayat ko maKHmur ho gaya

    utra nasha to kahne pe majbur ho gaya

    kya us ki eid hogi jo bichhDa ho yar se

    sukhe hue shajar ko gharaz kya bahaar se

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now