Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id

MORE BYRam Parkash Rahi

    khulī hai ḳhatm-e-marāhil pe sūrat-e-manzil

    ye ek sabr samra hai vaz.a-dāroñ ko

    gulū shahad bar aaya lab-e-shahādat par

    tulūa-e-māh-e-mubārak ho intizāroñ ko

    tulū-e-sub.h-e-musā.id se shām-e-ishrat tak

    bisāt-e-shauq sajā.egī jashn-zāroñ ko

    zarā baat hai īmā-e-raushnī samjho

    añdherā zāhir-o-bātin chāk-chāk rahe

    rahe na mus.haf-e-hastī kudūratoñ se ġhalīz

    matā.a-e-fe.al-o-suḳhan laġhzishoñ se paak rahe

    safā-o-sidq hoñ kirdār khulī tahrīr

    na koī vahm ho baaqī na koī baak rahe

    zahe ye hubb-e-baham ai uḳhuvvat-e-islām

    tirā vajūd shahkār hai nubuvvat

    bashar-shanās anāsir markaz-e-mānūs

    sadā-bahār gulistāñ vafā aqīdat

    bas ek sīna-e-momin meñ jazba-e-īsār

    rahegā madd-e-muqābil ye har aziyyat

    vatan ke mā'raz-e-har-farz-o-zimmedārī meñ

    shu.ūr-e-zīst āġhāz-e-bā-vaqār hai iid

    qadam qadam meñ sameTe ka.ī siyāq-o-sabāq

    urūj-e-qaum jānib nayā shi.ār hai iid

    bas ek nazm hai jamhūr ke irādoñ

    ye bandagī ijāra na iḳhtiyār hai iid

    khuli hai KHatm-e-marahil pe surat-e-manzil

    ye ek sabr ka samra hai waza-daron ko

    gulu ka shahad bar aaya lab-e-shahadat par

    tulua-e-mah-e-mubarak ho intizaron ko

    tulu-e-subh-e-musaid se sham-e-ishrat tak

    bisat-e-shauq sajaegi jashn-zaron ko

    zara si baat hai ima-e-raushni samjho

    andhera zahir-o-baatin ka chaak-chaak rahe

    rahe na mushaf-e-hasti kuduraton se ghaliz

    mataa-e-feal-o-suKHan laghzishon se pak rahe

    safa-o-sidq hon kirdar ki khuli tahrir

    na koi wahm ho baqi na koi bak rahe

    zahe ye hubb-e-baham ai uKHuwwat-e-islam

    tera wajud hi shahkar hai nubuwwat ka

    bashar-shanas anasir ka markaz-e-manus

    sada-bahaar gulistan wafa aqidat ka

    bas ek sina-e-momin mein jazba-e-isar

    rahega madd-e-muqabil ye har aziyyat ka

    watan ke ma'raz-e-har-farz-o-zimmedari mein

    shuur-e-zist ka aaghaz-e-ba-waqar hai id

    qadam qadam mein sameTe kai siyaq-o-sabaq

    uruj-e-qaum ki jaanib naya shiar hai id

    bas ek nazm hai jamhur ke iradon ka

    ye bandagi ka ijara na iKHtiyar hai id

    Source:

    Haqeeqat-e-Muntazar (Pg. 112)

    • Author: Ram Parkash Rahi
      • Publisher: Urdu Academy, Delhi
      • Year of Publication: 1997

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now