fikr-e-ainda
hameñ basārat se mahrūm kar diyā gayā hai
yā manzar se husn ġhā.eb ho gayā hai
ek lā-mutanāhī siyāh parda hai
jis se mātamī libās tayyār kiyā jā saktā hai
aur ehtajājī paTTiyāñ banā.ī jā saktī haiñ
hameñ ek sūraj darkār hai
jis se
mo.attal bahār ke phuul khilā.e jā sakeñ
jahālat ke parde meñ chhupā
ek din tulūa ho sake
oxygen ḳhatm hone se pahle
hameñ na.e daraḳht lagāne haiñ
purāne daraḳhtoñ ko
aivān-e-sadr kī ta.amīr meñ isti.māl kiyā jā saktā hai
hameñ guzishta se ziyāda
ā.inda kī fikr karnī chāhiye
isī ā.inda meñ
hamāre bachchoñ ko zinda rahnā hai
hamein basarat se mahrum kar diya gaya hai
ya manzar se husn ghaeb ho gaya hai
ek la-mutanahi siyah parda hai
jis se matami libas tayyar kiya ja sakta hai
aur ehtajaji paTTiyan banai ja sakti hain
hamein ek suraj darkar hai
jis se
moattal bahaar ke phul khilae ja saken
jahaalat ke parde mein chhupa
ek din tulua ho sake
oxygen KHatm hone se pahle
hamein nae daraKHt lagane hain
purane daraKHton ko
aiwan-e-sadr ki tamir mein istimal kiya ja sakta hai
hamein guzishta se ziyaada
aainda ki fikr karni chahiye
isi aainda mein
hamare bachchon ko zinda rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.