fikr-e-ashiyan
amal kuchh hai zabān-e-bāġhbāñ kuchh aur kahtī hai
na.ī āb-o-havā-e-gulistāñ kuchh aur kahtī hai
bharosa kyā kareñ ahl-e-gulistāñ lāla-o-gul par
anādil kī zabān-e-pur-bayāñ kuchh aur kahtī hai
na hotā koī Dar sayyād-o-gulchīñ kā nasheman meñ
magar ġhaflat tirī ai pāsbāñ kuchh aur kahtī hai
sunātī haiñ bahāreñ ham ko paiġhām-e-tarab lekin
bahāroñ ke pas-e-parda ḳhizāñ kuchh aur kahtī hai
sitamgar maiñ nahīñ kahtā sitamgar tum nahīñ lekin
dil-e-mazlūm kī āh-o-fuġhāñ kuchh aur kahtī hai
sañbhal kar chal na ho be-rāh-rau shauq-e-qayādat meñ
tirī azmat amīr-e-kārvāñ kuchh aur kahtī hai
vafā-nā-āshnā jo mujh ko kahte haiñ zarā socheñ
mire ahd-e-vafā kī dāstāñ kuchh aur kahtī hai
ye maanā kar rahe haiñ pāsbānī pāsbāñ lekin
chamak kar barq gird-e-āshiyāñ kuchh aur kahtī hai
chaman vaalo vafāoñ par tum apnī naaz karte ho
nigāh-e-kaj-adā-e-bāġhbāñ kuchh aur kahtī hai
vafādārī ba-shart-e-ustuvārī asl-e-īmāñ hai
magar merī zabān-e-be-zabāñ kuchh aur kahtī hai
mayassar hai hameñ āzādī-e-sair-e-chaman lekin
'razī' har vaqt fikr-e-āshiyāñ kuchh aur kahtī hai
amal kuchh hai zaban-e-baghban kuchh aur kahti hai
nai aab-o-hawa-e-gulistan kuchh aur kahti hai
bharosa kya karen ahl-e-gulistan lala-o-gul par
anadil ki zaban-e-pur-bayan kuchh aur kahti hai
na hota koi Dar sayyaad-o-gulchin ka nasheman mein
magar ghaflat teri ai pasban kuchh aur kahti hai
sunati hain bahaaren hum ko paigham-e-tarab lekin
bahaaron ke pas-e-parda KHizan kuchh aur kahti hai
sitamgar main nahin kahta sitamgar tum nahin lekin
dil-e-mazlum ki aah-o-fughan kuchh aur kahti hai
sanbhal kar chal na ho be-rah-rau shauq-e-qayaadat mein
teri azmat amir-e-karwan kuchh aur kahti hai
wafa-na-ashna jo mujh ko kahte hain zara sochen
mere ahd-e-wafa ki dastan kuchh aur kahti hai
ye mana kar rahe hain pasbani pasban lekin
chamak kar barq gird-e-ashiyan kuchh aur kahti hai
chaman walo wafaon par tum apni naz karte ho
nigah-e-kaj-ada-e-baghban kuchh aur kahti hai
wafadari ba-shart-e-ustuwari asl-e-iman hai
magar meri zaban-e-be-zaban kuchh aur kahti hai
mayassar hai hamein aazadi-e-sair-e-chaman lekin
'razi' har waqt fikr-e-ashiyan kuchh aur kahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.