fikr ka qaidi
dinoñ haftoñ mahīnoñ sochtā huuñ
kisī jvālā-mukhī sā khaultā huuñ apne paikar kī guphāoñ meñ
phir us ke baa'd aatā hai ik aisā pal zamīñ hilne lage jaise
ubal uThtā hai laavā toḌ kar kitnī chaTāneñ
aur saarī soch ik bhīgī huī dīvār kī sūrat
achānak baiTh jaatī hai
magar jvālā-mukhī jvālā-mukhī hai
ye ḳharosh-e-nār kī tahzīb ke andāz kyā jaane
laraz jaatā huuñ ik halkī sadā par is tarah aksar
baġhal se jaise koī sansanātā tiir guzrā ho
kahāñ le jā.ūñ apne ko
sulagte falsafe halqa-ba-halqa zehn par yalġhār karte haiñ
kisī qadġhan se kab ruktā hai sho.aloñ kā ye favvāra
ki aur ik soch is andāz se phir phuuT paḌtī hai
banā jaatā huuñ apnī fikr kī zanjīr kā qaidī
dinon hafton mahinon sochta hun
kisi jwala-mukhi sa khaulta hun apne paikar ki guphaon mein
phir us ke ba'd aata hai ek aisa pal zamin hilne lage jaise
ubal uThta hai lawa toD kar kitni chaTanen
aur sari soch ek bhigi hui diwar ki surat
achanak baiTh jati hai
magar jwala-mukhi jwala-mukhi hai
ye KHarosh-e-nar ki tahzib ke andaz kya jaane
laraz jata hun ek halki sada par is tarah aksar
baghal se jaise koi sansanata tir guzra ho
kahan le jaun apne ko
sulagte falsafe halqa-ba-halqa zehn par yalghaar karte hain
kisi qadghan se kab rukta hai shoalon ka ye fawwara
ki aur ek soch is andaz se phir phuT paDti hai
bana jata hun apni fikr ki zanjir ka qaidi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.