firaq gorakhpur ko tahniyat
firaq gorakhpur ko tahniyat
Rangeshwar Dayal Saxena Sufi
MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi
nāpnā sahl nahīñ hai tirī azmat kā firāq
qadr karnā kisī māhir kī nahīñ koī mazāq
urdu hogī tire ehsān se kyūñkar be-bāq
kah rahe haiñ gul-o-naġhma ke ye zarrīñ aurāq
qaumī yak-jehtī kā haamī to munāfī-e-nifāq
kyā bayāñ ho tire ausāf-e-hamīda kā firāq
tere paiġhām-e-haqīqī se haiñ labrez asbāq
tū hai sultān-e-adab nazm-o-ġhazal donoñ meñ taaq
tū hai yaktā-e-zamāñ is meñ nahīñ koī kalām
pesh-e-ḳhidmat hai ba-sad ijz ye 'sūfī' kā kalām
giyān piiTh aaj hai shādāñ tujhe de kar in.aam
aaj shohrat kā tirī hai sar-e-aflāk maqām
napna sahl nahin hai teri azmat ka firaq
qadr karna kisi mahir ki nahin koi mazaq
urdu hogi tere ehsan se kyunkar be-baq
kah rahe hain gul-o-naghma ke ye zarrin auraq
qaumi yak-jehti ka hami to munafi-e-nifaq
kya bayan ho tere ausaf-e-hamida ka firaq
tere paigham-e-haqiqi se hain labrez asbaq
tu hai sultan-e-adab nazm-o-ghazal donon mein taq
tu hai yakta-e-zaman is mein nahin koi kalam
pesh-e-KHidmat hai ba-sad ijz ye 'sufi' ka kalam
giyan piTh aaj hai shadan tujhe de kar inam
aaj shohrat ka teri hai sar-e-aflak maqam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.