firaq
terī furqat meñ ai mire dilbar
dil kahīñ bhī bahaltā nahīñ hai
lamha lamha mujhe Das rahā hai
aur dam bhī nikaltā nahīñ hai
jab bhī chāhe tū roke zamīñ ko
tū sitāroñ se gardish haTā le
aur idhar ek maiñ huuñ ki ḳhud se
apnā dil bhī sambhaltā nahīñ hai
ik charāġh-e-mohabbat thā aisā
jo ki raushan thā terī jabīñ par
haa.e kyuuñ vo charāġh-e-mohabbat
merī āñkhoñ meñ jaltā nahīñ hai
duur lagtī haiñ sab manzileñ ab
aur tārīk haiñ rāste bhī
ye safar ḳhatm ho kaise 'ālam'
tū mire saath chaltā nahīñ hai
teri furqat mein ai mere dilbar
dil kahin bhi bahalta nahin hai
lamha lamha mujhe Das raha hai
aur dam bhi nikalta nahin hai
jab bhi chahe tu roke zamin ko
tu sitaron se gardish haTa le
aur idhar ek main hun ki KHud se
apna dil bhi sambhalta nahin hai
ek charagh-e-mohabbat tha aisa
jo ki raushan tha teri jabin par
hae kyun wo charagh-e-mohabbat
meri aankhon mein jalta nahin hai
dur lagti hain sab manzilen ab
aur tarik hain raste bhi
ye safar KHatm ho kaise 'alam'
tu mere sath chalta nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.