Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

firing

Zeeshan Sahil

firing

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    firing ho rahī hai

    firing ho rahī hai

    cricket khelte hue bachche

    shor machāte haiñ

    magar ghar meñ nahīñ jaate

    jaise firing ek jadīd lok giit hai

    jis dhun par

    shor machāte dauḌte hue

    cricket khelī saktī hai

    phir

    bachchoñ gintī sikhāne

    koī nayā tarīqa

    vo rozāna ek se das

    das se sau

    aur phir baġhair ruke sau se hazār tak pahuñche haiñ

    magar firing band nahīñ hotī

    vo musalsal jaarī rahtī hai

    hameñ patā chaltā hai

    bahut ma.amūlī vaj.h se

    firing hotī rahtī hai

    do dost ek chiḌiyā ko

    kapḌe se banī ek Darī huī chiḌiyā ko mārne ke liye nishāna baazī mashq kar rahe the

    do bhaa.ī chhat par rakhe hue

    ghī ke ḳhālī Dibboñ sharbat botaloñ ko

    āsānī se nīche laanā chaah rahe the

    dīvār par chipke hue

    pachās paise ke khoTe sikke ko

    zamīn par girāne ke liye

    itnī goliyāñ chalā.īñ ga.iiñ

    ki log Dar ga.e

    unheñ Darnā nahīñ chāhiye

    ham kahte haiñ itnī chhoTī bātoñ par

    unheñ Darnā nahīñ chāhiye

    firing to āġhāz hai

    kachhve aur ḳhargosh dauḌ

    chūhe aur billī ke muqāble

    agar aap use mausīqī samajhte haiñ

    to phir puurī tarah us se lutf-andoz huuñ

    shor samajhte haiñ

    to apne kānoñ meñ ruuī Thūñs leñ

    dastak samajhte haiñ

    to apne ghar darvāza

    dil tarah band rakheñ

    aur jab tak

    firing ho rahī hai

    bāhar na nikleñ

    firing ho rahi hai

    firing ho rahi hai

    cricket khelte hue bachche

    shor machate hain

    magar ghar mein nahin jate

    jaise firing ek jadid lok git hai

    jis ki dhun par

    shor machate dauDte hue

    cricket kheli ja sakti hai

    ya phir

    bachchon ginti sikhane ka

    koi naya tariqa

    wo rozana ek se das

    das se sau

    aur phir baghair ruke sau se hazar tak ja pahunche hain

    magar firing band nahin hoti

    wo musalsal jari rahti hai

    hamein pata chalta hai

    bahut mamuli wajh se

    firing hoti rahti hai

    do dost ek chiDiya ko

    kapDe se bani ek Dari hui chiDiya ko marne ke liye nishana bazi ki mashq kar rahe the

    ya do bhai chhat par rakhe hue

    ghi ke KHali Dibbon sharbat ki botalon ko

    aasani se niche lana chah rahe the

    ya diwar par chipke hue

    pachas paise ke khoTe sikke ko

    zamin par girane ke liye

    itni goliyan chalain gain

    ki log Dar gae

    unhen Darna nahin chahiye

    hum kahte hain itni chhoTi baaton par

    unhen Darna nahin chahiye

    firing to aaghaz hai

    kachhwe aur KHargosh ki dauD ka

    chuhe aur billi ke muqable ka

    agar aap use mausiqi samajhte hain

    to phir puri tarah us se lutf-andoz hun

    shor samajhte hain

    to apne kanon mein rui Thuns len

    dastak samajhte hain

    to apne ghar ka darwaza

    dil ki tarah band rakhen

    aur jab tak

    firing ho rahi hai

    bahar na niklen

    Source :
    • Book : saarii nazmen (Pg. 361)
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now