fishshajaril-aKHzar-e-nar
hare daraḳhtoñ se aag barse
nigār-ḳhānoñ meñ ḳhār-o-ḳhas haiñ
chamakte pattoñ ke dāmanoñ par
lachaktī Dāloñ pe Tahniyoñ par
guloñ kī laalī meñ kār-farmā
lahū shahīdoñ kā har taraf hai
alaav jhīloñ meñ the kañval ke
vo raakh jal ke hue haiñ kab ke
diye bujhā kar kañval kī thālī
dukān-e-sangīn-o-bam sajā.e
ajal ke qāsid kī muntazir hai
vo ḳhushbuoñ ke latīf lahre
kahīñ nahīñ hai nishān un kā
na.ī hai khetī na.ī haiñ fasleñ
ugeñge khetoñ meñ top gole
kahīñ pe golī kī bāliyāñ bhī
kahīñ ugeñgī saroñ kī fasleñ
kahīñ pe dast-e-hinā ugeñge
kahīñ pe chashm-e-ġhazāl-āsā
kahīñ pe zulf-e-dotā ugegī
kahīñ zabān-e-burīda hogī
kahīñ tarāshīda pā ugeñge
jo aaj bo.eñge kal ugegā
havā kā samra bagūle hoñge
sharar se sho.ale ugā kareñge
magar jo ḳhirman haiñ zulmatoñ ke
kabhī to un par itaab hogā
kabhī to barq-e-tapāñ giregī
kabhī to roz-e-hisāb hogā
kabhī haqīqat-shanās uTh kar
batā.eñge ye lahū hai kis kā
ye kis ke lāshe haiñ aise āḳhir
ki baad sadiyoñ ke ḳhanda-lab haiñ
hare daraKHton se aag barse
nigar-KHanon mein KHar-o-KHas hain
chamakte patton ke damanon par
lachakti Dalon pe Tahniyon par
gulon ki lali mein kar-farma
lahu shahidon ka har taraf hai
alaw jhilon mein the kanwal ke
wo rakh jal ke hue hain kab ke
diye bujha kar kanwal ki thaali
dukan-e-sangin-o-bam sajae
ajal ke qasid ki muntazir hai
wo KHushbuon ke latif lahre
kahin nahin hai nishan un ka
nai hai kheti nai hain faslen
ugenge kheton mein top gole
kahin pe goli ki baaliyan bhi
kahin ugengi saron ki faslen
kahin pe dast-e-hina ugenge
kahin pe chashm-e-ghazal-asa
kahin pe zulf-e-dota ugegi
kahin zaban-e-burida hogi
kahin tarashida pa ugenge
jo aaj boenge kal ugega
hawa ka samra bagule honge
sharar se shoale uga karenge
magar jo KHirman hain zulmaton ke
kabhi to un par itab hoga
kabhi to barq-e-tapan giregi
kabhi to roz-e-hisab hoga
kabhi haqiqat-shanas uTh kar
bataenge ye lahu hai kis ka
ye kis ke lashe hain aise aaKHir
ki baad sadiyon ke KHanda-lab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.