fitrat-e-dushman
hai dāḳhil fitrat-e-mun.im meñ nādāroñ ko taḌpānā
sar-e-pā-e-hiqārat se har ik bekas ko Thukrānā
hai fitrat dushmanān-e-dīn-o-īmān-o-haqīqat kī
vatan se kar ke ġhaddārī mulūkiyyat se mil jaanā
diloñ meñ tuḳhm-rezī ho chukī hai jab kudūrat kī
bhalā dushvār kyā hai aise naḳhl-e-tar kā baḌh jaanā
binā-e-hurriyat kī ustuvārī kī thī jab ham ne
sar-e-'dās'-o-bhagat-singh de diye the qabl nazrāna
koī kah de hukūmat se na uljhe naujavānoñ se
inheñ sikhlā diyā hai zulm ne zālim se Takrānā
yaqīnan inqalāb-e-hind hogā ai 'suḳhan' hogā
hameñ zebā hai apne ghar meñ jhanDā surḳh lahrānā
hai daKHil fitrat-e-munim mein nadaron ko taDpana
sar-e-pa-e-hiqarat se har ek bekas ko Thukrana
hai fitrat dushmanan-e-din-o-iman-o-haqiqat ki
watan se kar ke ghaddari mulukiyyat se mil jaana
dilon mein tuKHm-rezi ho chuki hai jab kudurat ki
bhala dushwar kya hai aise naKHl-e-tar ka baDh jaana
bina-e-hurriyat ki ustuwari ki thi jab hum ne
sar-e-'das'-o-bhagat-singh de diye the qabl nazrana
koi kah de hukumat se na uljhe naujawanon se
inhen sikhla diya hai zulm ne zalim se Takrana
yaqinan inqalab-e-hind hoga ai 'suKHan' hoga
hamein zeba hai apne ghar mein jhanDa surKH lahrana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.