Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fitrat ki sahar-taraaziyan

Najma Mahmood

fitrat ki sahar-taraaziyan

Najma Mahmood

MORE BYNajma Mahmood

    fitrat husn-e-sahar-ḳhez

    us ke rāz-e-be-karāñ be-panāh

    hasīn phuul zinda chashme bahte dariyā

    sabza-zār kohsār

    jangal aur sahrā vādiyāñ ghāTiyāñ

    athāh samundar aur un meñ ābād duniyā.eñ

    pur-asrār hairat-ḳhaiz sehr-añgez

    ek puurī kā.enāt

    garajte bādal bijlī lahreñ

    shafaq ufuq

    zamīn se ugtā āftāb

    chāñd jaadū bārish mas.hūr-kun mausīqī

    naġhme bikherte tuyūr raqsāñ mor jharnoñ

    tarannum aur ravāñ-davāñ ugtī mādūm hotī hasīn

    sūrateñ ḳhudā ke kārnāme

    sar-chashme ḳhushī ke

    sar-chashme masarrat ke

    fitrat ka husn-e-sahar-KHez

    us ke raaz-e-be-karan be-panah

    hasin phul zinda chashme bahte dariya

    sabza-zar kohsar

    jangal aur sahra wadiyan ghaTiyan

    athah samundar aur un mein aabaad duniyaen

    pur-asrar hairat-KHaiz sehr-angez

    ek puri kaenat

    garajte baadal bijli ki lahren

    shafaq ufuq

    zamin se ugta aaftab

    chand ka jadu barish ki mashur-kun mausiqi

    naghme bikherte tuyur raqsan mor jharnon ka

    tarannum aur rawan-dawan ugti madum hoti hasin

    suraten KHuda ke karname

    sar-chashme KHushi ke

    sar-chashme masarrat ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now