flash-back
ba.ad ik arse ke jab us ko qarār aayā
havās-e-muntashir ko mujtam.a karne kā vaqt aayā
ḳhayāl aayā na kyuuñ ham aisā karte haiñ
razm-gāh-e-zindagī meñ phir palaTte haiñ
dekh to leñ kyā huā thā harīm harīm-e-nāz meñ
ishq ke asrār meñ jazbāt ke iz.hār meñ
al-ajab vā-hairatā kaisā yahāñ hai mo.āmla
ridā-e-iffat-o-ismat use jis shaḳhs ne dī thī
usī kī āñkhoñ meñ aur qalb meñ nashtar chubhotī hai
ki us baḳhshī huī chādar ke parde meñ
vo apne jism kā aur husn kā jaadū jagātī hai
harīm-e-nāz ko bad-zātoñ se ābād kartī hai
baad ek arse ke jab us ko qarar aaya
hawas-e-muntashir ko mujtama karne ka waqt aaya
KHayal aaya na kyun hum aisa karte hain
razm-gah-e-zindagi mein phir palaTte hain
dekh to len kya hua tha harim harim-e-naz mein
ishq ke asrar mein jazbaat ke izhaar mein
al-ajab wa-hairata kaisa yahan hai moamla
rida-e-iffat-o-ismat use jis shaKHs ne di thi
usi ki aankhon mein aur qalb mein nashtar chubhoti hai
ki us baKHshi hui chadar ke parde mein
wo apne jism ka aur husn ka jadu jagati hai
harim-e-naz ko bad-zaton se aabaad karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.