Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

flash-back

Siraj Faisal Khan

flash-back

Siraj Faisal Khan

MORE BYSiraj Faisal Khan

    maiñ aaj

    college ke campus meñ

    udaas tanhā khaḌā huā huuñ

    usī jagah pe

    jahāñ pe pahlī dafa tumhārī

    hasīñ nazar se

    nazar milī thī

    to tajraba ik nayā huā thā

    mirī nazar ko

    ki is se pahle

    ye raushnī jo

    tumhāre andar se aa rahī thī

    kisī meñ mujh ko nazar na aa.ī

    tumhīñ thiiñ jis ne

    udāsiyoñ shaboñ meñ merī ziyā ugaa.ī

    ki ḳhushk Daalī pe mere man

    na.ī koñpal nikal ke aa.ī

    maiñ un dinoñ meñ

    sañvar rahā thā

    nikhar rahā thā

    tumhārī chāhat ke abr rahmat tarh mujh par

    baras rahe the

    ki jism-o-jāñ sab mahak rahe the

    tumhārī pākīzgī sūraj

    mire badan meñ chamak rahā thā

    ki sar se tak vujūd merā

    ḳhushī ke paikar meñ Dhal chukā thā

    ye ibtidā thī

    us intihā

    maiñ aaj jis tak pahuñch gayā huuñ

    maiñ aaj

    college ke campus meñ

    udaas tanhā

    khaḌā huā huuñ

    main aaj

    college ke campus mein

    udas tanha khaDa hua hun

    usi jagah pe

    jahan pe pahli dafa tumhaari

    hasin nazar se

    nazar mili thi

    to tajraba ek naya hua tha

    meri nazar ko

    ki is se pahle

    ye raushni jo

    tumhaare andar se aa rahi thi

    kisi mein mujh ko nazar na aai

    tumhin thin jis ne

    udasiyon ki shabon mein meri ziya ugai

    ki KHushk Dali pe mere man ki

    nai si konpal nikal ke aai

    main un dinon mein

    sanwar raha tha

    nikhar raha tha

    tumhaari chahat ke abr rahmat ki tarh mujh par

    baras rahe the

    ki jism-o-jaan sab mahak rahe the

    tumhaari pakizgi ka suraj

    mere badan mein chamak raha tha

    ki sar se pa tak wujud mera

    KHushi ke paikar mein Dhal chuka tha

    ye ibtida thi

    us intiha ki

    main aaj jis tak pahunch gaya hun

    main aaj

    college ke campus mein

    udas tanha

    khaDa hua hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now