footpath ke log
shahr meñ kuchh bhī ho jaa.e
ye log kahīñ nahīñ jaate
yā shāyad ham
gharoñ meñ rahne vāloñ ko
aisā hī lagtā hai
jab sub.h sub.h hameñ kahīñ jaanā paḌtā hai
to unheñ fōtpath par
be-ḳhabarī ke aalam meñ sotā dekh kar
ham un kī zindagī ke baare meñ
sochte haiñ
magar vāpsī tak bhuul jaate haiñ
hamārī gaaḌī ko traffic-jām meñ
phañsā dekh kar
ye hañste haiñ to hameñ
apne-āp par ronā aatā hai
har roz ek hī jagah unheñ dekh ke
hameñ hairat hotī hai
tez dhuup meñ unheñ jaltā dekh kar
hameñ afsos hotā hai
unheñ bārish meñ bhīgtā dekh kar
ham ḳhuub hañste haiñ
har raat jab ye so.e hue hote haiñ
añdhere fōtpath par se
guzarte hue
ham unheñ Thokareñ mārte haiñ
aur kabhī muāfī nahīñ māñgte
shahr mein kuchh bhi ho jae
ye log kahin nahin jate
ya shayad hum
gharon mein rahne walon ko
aisa hi lagta hai
jab subh subh hamein kahin jaana paDta hai
to unhen footpath par
be-KHabari ke aalam mein sota dekh kar
hum un ki zindagi ke bare mein
sochte hain
magar wapsi tak bhul jate hain
hamari gaDi ko traffic-jam mein
phansa dekh kar
ye hanste hain to hamein
apne-ap par rona aata hai
har roz ek hi jagah unhen dekh ke
hamein hairat hoti hai
tez dhup mein unhen jalta dekh kar
hamein afsos hota hai
unhen barish mein bhigta dekh kar
hum KHub hanste hain
har raat jab ye soe hue hote hain
andhere footpath par se
guzarte hue
hum unhen Thokaren marte hain
aur kabhi muafi nahin mangte
- Book : saarii nazmen (Pg. 373)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.