dost
maiñ bahut akelā huuñ
tum mujh se dostī kar lo
shahr kahtā hai
aur apne haath
hamārī taraf phailā detā hai
ham us ke hāthoñ ko dekhte haiñ
aur Dar jaate haiñ
shahr ke haath kuhniyoñ tak
jale hue haiñ
aisī hālat meñ
koī kisī ke haath
bhalā kaise thaam saktā hai
koī kisī ke saath
kaise dostī kar saktā hai
ham apnā muñh pher lete haiñ
aur shahr se duur
jaane lagte haiñ
hameñ apne paas se jaatā dekh kar
shahr ko shāyad bahut Dar lagtā hai
vo jaldī jaldī hamāre pīchhe aane lagtā hai
aur kahtā hai mujhe bhī
apne saath le chalo
apne hāthoñ ko ek safed kapḌe se chhupāte hue
vo apnī baat dohrātā hai
use apne saath aatā dekh kar
ham ruk jaate haiñ
shahr bhī ruk jaatā hai
ham us ke pairoñ ko dekhte haiñ
aur apnī āñkheñ
band kar lete haiñ
us ke pairoñ kī uñgliyoñ meñ
bahut se chhāpe paḌe hue haiñ
us kī eḌī aur talvoñ se
ḳhuun bah rahā hai
ham shahr se kahte haiñ
canvas ke juute
aur uunī moze pahne baġhair
tum hamāre saath nahīñ chal sakte
apne rāste par
chalne lagte haiñ
hamārī bātoñ se shahr kī āñkhoñ meñ
kitne aañsū jam.a ho jaate haiñ
ham unheñ nahīñ dekhte
hamāre jaane se shahr ke dil par
kyā asar hogā
hameñ us kī koī fikr nahīñ
hamāre baġhair shahr
kis qadar udaas kitnā akelā ho jaatā hai
us ke baġhair apne rāste par chalte hue
hameñ us kā andāza hī nahīñ hotā
ham nahīñ jānte
jab bhī hameñ kuchh hotā hai
hamāre dostoñ kī tarah shahr
hamāre liye pareshān ho jaatā hai
hameñ bachāne ke liye
ham jahāñ bhī kahīñ hoñ
vo apne zaḳhmī pairoñ ke saath
hamārī samt meñ
dauḌne lagtā hai
hameñ na pā kar
apne
kuhniyoñ tak jale
haath uThā kar
shahr hamārī ḳhairiyat kī
duā.eñ māñgne lagtā hai
main bahut akela hun
tum mujh se dosti kar lo
shahr kahta hai
aur apne hath
hamari taraf phaila deta hai
hum us ke hathon ko dekhte hain
aur Dar jate hain
shahr ke hath kuhniyon tak
jale hue hain
aisi haalat mein
koi kisi ke hath
bhala kaise tham sakta hai
koi kisi ke sath
kaise dosti kar sakta hai
hum apna munh pher lete hain
aur shahr se dur
jaane lagte hain
hamein apne pas se jata dekh kar
shahr ko shayad bahut Dar lagta hai
wo jaldi jaldi hamare pichhe aane lagta hai
aur kahta hai mujhe bhi
apne sath le chalo
apne hathon ko ek safed kapDe se chhupate hue
wo apni baat dohraata hai
use apne sath aata dekh kar
hum ruk jate hain
shahr bhi ruk jata hai
hum us ke pairon ko dekhte hain
aur apni aankhen
band kar lete hain
us ke pairon ki ungliyon mein
bahut se chhape paDe hue hain
us ki eDi aur talwon se
KHun bah raha hai
hum shahr se kahte hain
canwas ke jute
aur uni moze pahne baghair
tum hamare sath nahin chal sakte
apne raste par
chalne lagte hain
hamari baaton se shahr ki aankhon mein
kitne aansu jama ho jate hain
hum unhen nahin dekhte
hamare jaane se shahr ke dil par
kya asar hoga
hamein us ki koi fikr nahin
hamare baghair shahr
kis qadar udas kitna akela ho jata hai
us ke baghair apne raste par chalte hue
hamein us ka andaza hi nahin hota
hum nahin jaante
jab bhi hamein kuchh hota hai
hamare doston ki tarah shahr
hamare liye pareshan ho jata hai
hamein bachane ke liye
hum jahan bhi kahin hon
wo apne zaKHmi pairon ke sath
hamari samt mein
dauDne lagta hai
hamein na pa kar
apne
kuhniyon tak jale
hath uTha kar
shahr hamari KHairiyat ki
duaen mangne lagta hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 382)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.