front-page
hazāroñ saal se aurat
hiqārat gāliyāñ aur Thokareñ sahtī rahī hai
hazāroñ saal se har saañs par martī rahī hai
ab bhī har ghar meñ
ye zinda dafn hotī hai
magar is meñ ḳhabar kī baat hī koī nahīñ hai
tumhārī jāmia punjab kī haḌtāl kā ye chauthā hafta hai
zamīn-dāroñ ne phir kuchh auratoñ ko
gaañv meñ bandūq par nangā nachāyā hai
unheñ galiyoñ mohalloñ meñ phirāyā hai
kahīñ lahore meñ bā-rīsh laḌkoñ ne
professor ko piiTā hai
ye ḳhabreñ apnī byte kho chukī haiñ
purānī aur farsūda kahānī ho chukī haiñ
unheñ andar kahīñ par ek column tiin line kī jagah de do
javāñ aurat kī galtī laash
kuuḌe se milī hai
us ko thoḌā chaT-paTā kar do
likho sattrah baras kī gandumī laḌkī
jise insān ne nochā
jise kuttoñ ne khāyā
aur police ne qabr meñ Daalā
ḳhabar ye ban ga.ī hai
is ḳhabar ko pāñch column chaukhaTe meñ Daal kar chhāpo
aur is ke saath saḌtī laash kī
tasvīr bhī de do
ka.ī din se karachi ḳhuun kī holī nahīñ khelā
bahut aḳhbār phīkā hai
kahīñ se koī dahshat-gard Daaku aur qātil
DhūñD kar laao
kahīñ ho ḳhauf kā chaskā
kahīñ koī scandal ho
kahīñ par jins kī tazlīl hotī ho
kahīñ par masḳh lāshe hoñ
kahīñ par ḳhuun kī bū ho
hukūmat agle hafte hī girā deñge
bayāñ hizb-e-muḳhālif kā hai
ye shah-surḳhī lagā do ya.anī peshānī sajā do
hukūmat chor hai ḳhā.in hai
saarā mulk tanhā khā rahī hai kitne barsoñ se
vo saare khel meñ
ab ham ko baarī de
ki ham bhī to karoḌoñ ḳharch kar ke hī numā.inde bane the
ham kahāñ jaa.eñ
bahut mazbūt hai apnī hukūmat
hil nahīñ saktī
abhī se tum ko kursī mil nahīñ saktī
use bhī saath utnī hī jagah de do
kisī ne aaj phir masjid pe bam pheñkā
namāzī ḳhuun meñ ġhaltāñ
scope achchhā hai
ye puurā quarter page le legā
kisī mazdūr par chhat aa girī hai
aur kisī ne ḳhud-kushī kī hai
kisī VIP ne chhīñk maarī hai
ye sah column
vo do column
yahāñ par cartōn aa jā.egā
aur laash us kone meñ fiT hogī
ye baaqī ishtihāroñ kī jagah maḳhsūs rakkhī hai
mubārakbād hai aur Sale hai
aur ek tender hai
ḳhushī kā raaz hai
barqī clinic hai
chalo sab paste up kar do
mujhe ab dūsrā saf.ha dikhā do
hazaron sal se aurat
hiqarat galiyan aur Thokaren sahti rahi hai
hazaron sal se har sans par marti rahi hai
ab bhi har ghar mein
ye zinda dafn hoti hai
magar is mein KHabar ki baat hi koi nahin hai
tumhaari jamia punjab ki haDtal ka ye chautha hafta hai
zamin-daron ne phir kuchh auraton ko
ganw mein banduq par nanga nachaya hai
unhen galiyon mohallon mein phiraya hai
kahin lahore mein ba-rish laDkon ne
professor ko piTa hai
ye KHabren apni byte kho chuki hain
purani aur farsuda kahani ho chuki hain
unhen andar kahin par ek column tin line ki jagah de do
jawan aurat ki galti lash
kuDe se mili hai
us ko thoDa chaT-paTa kar do
likho sattrah baras ki gandumi laDki
jise insan ne nocha
jise kutton ne khaya
aur police ne qabr mein Dala
KHabar ye ban gai hai
is KHabar ko panch column chaukhaTe mein Dal kar chhapo
aur is ke sath saDti lash ki
taswir bhi de do
kai din se karachi KHun ki holi nahin khela
bahut aKHbar phika hai
kahin se koi dahshat-gard Daku aur qatil
DhunD kar lao
kahin ho KHauf ka chaska
kahin koi scandal ho
kahin par jins ki tazlil hoti ho
kahin par masKH lashe hon
kahin par KHun ki bu ho
hukumat agle hafte hi gira denge
bayan hizb-e-muKHalif ka hai
ye shah-surKHi laga do yani peshani saja do
hukumat chor hai KHain hai
sara mulk tanha kha rahi hai kitne barson se
wo sare khel mein
ab hum ko bari de
ki hum bhi to karoDon KHarch kar ke hi numainde bane the
hum kahan jaen
bahut mazbut hai apni hukumat
hil nahin sakti
abhi se tum ko kursi mil nahin sakti
use bhi sath utni hi jagah de do
kisi ne aaj phir masjid pe bam phenka
namazi KHun mein ghaltan
scope achchha hai
ye pura quarter page le lega
kisi mazdur par chhat aa giri hai
aur kisi ne KHud-kushi ki hai
kisi VIP ne chhink mari hai
ye sah column
wo do column
yahan par cartoon aa jaega
aur lash us kone mein fiT hogi
ye baqi ishtihaaron ki jagah maKHsus rakkhi hai
mubarakbaad hai aur Sale hai
aur ek tender hai
KHushi ka raaz hai
barqi clinic hai
chalo sab paste up kar do
mujhe ab dusra safha dikha do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.