fughan-e-dehli
jin ko duniyā meñ kisī se bhī sarokār na thā
ahl-o-nā-ahl se kuchh ḳhalt unheñ zinhār na thā
un kī ḳhalvat se koī vāqif-o-ham-rāz na thā
aadmī kyā hai farishte kā bhī vaañ baar na thā
vo galī-kūchoñ meñ phirte haiñ pareshāñ dar dar
ḳhaak bhī miltī nahīñ un ko ki Dāleñ sar par
aish-o-ishrat ke sivā kuchh bhī na thā jin ko yaad
luT ga.e kuchh na rahā ho ga.e bilkul barbād
TukḌe hotā hai jigar sun ke ye un kī fariyād
phir bhī dekheñge ilāhī kabhū dehlī ābād
kab talak dāġh-e-dil ek ek ko dikhlā.eñ ham
kaash ho jaa.e zamīñ shaq to samā jaa.eñ ham
roz vahshat mujhe sahrā kī taraf laatī hai
sar ho aur josh-e-junūñ sang ho aur chhātī ho
TukḌe hotā hai jigar jī hī pe ban jaatī hai
mustafā-ḳhāñ kī mulāqāt jo yaad aatī hai
kyūñki 'āzurdā' nikal jaa.e na saudā.ī ho
qatl is tarah se be-jurm jo sahbā.ī ho
jin ko duniya mein kisi se bhi sarokar na tha
ahl-o-na-ahl se kuchh KHalt unhen zinhaar na tha
un ki KHalwat se koi waqif-o-ham-raaz na tha
aadmi kya hai farishte ka bhi wan bar na tha
wo gali-kuchon mein phirte hain pareshan dar dar
KHak bhi milti nahin un ko ki Dalen sar par
aish-o-ishrat ke siwa kuchh bhi na tha jin ko yaad
luT gae kuchh na raha ho gae bilkul barbaad
TukDe hota hai jigar sun ke ye un ki fariyaad
phir bhi dekhenge ilahi kabhu dehli aabaad
kab talak dagh-e-dil ek ek ko dikhlaen hum
kash ho jae zamin shaq to sama jaen hum
roz wahshat mujhe sahra ki taraf lati hai
sar ho aur josh-e-junun sang ho aur chhati ho
TukDe hota hai jigar ji hi pe ban jati hai
mustafa-KHan ki mulaqat jo yaad aati hai
kyunki 'azurda' nikal jae na saudai ho
qatl is tarah se be-jurm jo sahbai ho
- Nawa-e-Azadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.