Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

furaat-e-ismat ke sahilon par

Tariq Qamar

furaat-e-ismat ke sahilon par

Tariq Qamar

Interesting Fact

in the context of the battle of Karbala

vo ek nannhī pyaas jis ne

furāt-e-ismat ke sāhiloñ par

sarāb-e-sahrā dāstānoñ ko apne ḳhuuñ se raqam kiyā thā

jafā ke tīroñ ko ḳham kiyā thā

vafā āñkhoñ ko nam kiyā thā

buland haq alam kiyā thā

vo pyaas karvaT badal rahī hai

ab apne pairoñ se chal rahī hai

vo pyaas

bachpan meñ jis ne sātoñ samundaroñ safar kiyā thā

vo pyaas

jis ḳhamoshiyoñ ne sadā-e-dariyā ko sar kiyā thā

vo pyaas

jis ne sitamgaroñ sukūn zer-o-zabar kiyā thā

sitam ke aivāñ meñ aa ga.ī hai

vo pyaas zindāñ meñ aa ga.ī hai

wo ek nannhi si pyas jis ne

furaat-e-ismat ke sahilon par

sarab-e-sahra ki dastanon ko apne KHun se raqam kiya tha

jafa ke tiron ko KHam kiya tha

wafa ki aankhon ko nam kiya tha

buland haq ka alam kiya tha

wo pyas karwaT badal rahi hai

ab apne pairon se chal rahi hai

wo pyas

bachpan mein jis ne saton samundaron ka safar kiya tha

wo pyas

jis ki KHamoshiyon ne sada-e-dariya ko sar kiya tha

wo pyas

jis ne sitamgaron ka sukun zer-o-zabar kiya tha

sitam ke aiwan mein aa gai hai

wo pyas zindan mein aa gai hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now