fursat ki tamanna mein
yuuñ vaqt guzartā hai
fursat kī tamannā meñ
jis tarah koī pattā
bahtā huā dariyā meñ
sāhil ke qarīb aa kar
chāhe ki Thahar jā.ūñ
aur sair zarā kar luuñ
us aks-e-moshajjar kī
jo dāman-e-dariyā par
zebā.ish-e-dariyā hai
yā baad kā vo jhoñkā
jo vaqf-e-ravānī hai
ik baaġh ke goshe meñ
chāhe ki yahāñ dam luuñ
dāman ko zarā bhar luuñ
us phuul kī ḳhushbū se
jis ko abhī khilnā hai
fursat kī tamannā meñ
yuuñ vaqt guzartā hai
afkār ma.īshat ke
fursat hī nahīñ dete
maiñ chāhtā huuñ dil se
kuchh kasb-e-hunar kar luuñ
gul-hā-e-mazāmīñ se
dāmān-e-suḳhan bhar luuñ
hai baḳht magar vāzhūñ
fursat hī nahīñ miltī
fursat ko kahāñ DhūñDūñ
fursat hī kā ronā hai
phir jī meñ ye aatī hai
kuchh aish hī hāsil ho
daulat hī mile mujh ko
vo kaam koī sochūñ
phir sochtā ye bhī huuñ
ye sochne kā dhandā
fursat hī meñ honā hai
fursat hī nahīñ dete
afkār ma.īshat ke
yun waqt guzarta hai
fursat ki tamanna mein
jis tarah koi patta
bahta hua dariya mein
sahil ke qarib aa kar
chahe ki Thahar jaun
aur sair zara kar lun
us aks-e-moshajjar ki
jo daman-e-dariya par
zebaish-e-dariya hai
ya baad ka wo jhonka
jo waqf-e-rawani hai
ek bagh ke goshe mein
chahe ki yahan dam lun
daman ko zara bhar lun
us phul ki KHushbu se
jis ko abhi khilna hai
fursat ki tamanna mein
yun waqt guzarta hai
afkar maishat ke
fursat hi nahin dete
main chahta hun dil se
kuchh kasb-e-hunar kar lun
gul-ha-e-mazamin se
daman-e-suKHan bhar lun
hai baKHt magar wazhun
fursat hi nahin milti
fursat ko kahan DhunDun
fursat hi ka rona hai
phir ji mein ye aati hai
kuchh aish hi hasil ho
daulat hi mile mujh ko
wo kaam koi sochun
phir sochta ye bhi hun
ye sochne ka dhanda
fursat hi mein hona hai
fursat hi nahin dete
afkar maishat ke
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 70)
- Author : Khawaja Muhammad Zakariya
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.