fursat
maiñ ḳhud par munkashif hone kī sā'at meñ
kisī gul-rang fursat meñ
tumheñ jab yaad kartī huuñ
mire chāroñ taraf jaise sitāre raqs karte haiñ
zamānoñ se zamānoñ tak
jahānoñ se jahānoñ tak
mohabbat ke hazāroñ isti'āre raqs karte haiñ
parinde titliyāñ aur phuul saare raqs karte haiñ
zamīn-o-āsmāñ ke sab kināre raqs karte haiñ
mirī nazmoñ ke TukḌe aur tumhāre nasr-pāre raqs karte haiñ
tumheñ jab yaad kartī huuñ
main KHud par munkashif hone ki sa'at mein
kisi gul-rang fursat mein
tumhein jab yaad karti hun
mere chaaron taraf jaise sitare raqs karte hain
zamanon se zamanon tak
jahanon se jahanon tak
mohabbat ke hazaron isti'are raqs karte hain
parinde titliyan aur phul sare raqs karte hain
zamin-o-asman ke sab kinare raqs karte hain
meri nazmon ke TukDe aur tumhaare nasr-pare raqs karte hain
tumhein jab yaad karti hun
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 137)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.